agar vo mil ke bichhadne ka hausla rakhta
to darmiyaan na muqaddar ka faisla rakhta
vo mujh ko bhool chuka ab yaqeen hai warna
wafa nahin to jafaon ka silsila rakhta
bhatk rahe hain musaafir to raaste gum hain
andheri raat mein deepak koi jala rakhta
mahak mahak ke bikhrti hain us ke aangan mein
vo apne ghar ka dareecha agar khula rakhta
agar vo chaand ki basti ka rahne waala tha
to apne saath sitaaron ka qaafila rakhta
jise khabar nahin khud apni zaat ki zarrein
vo doosron ka bhala kis tarah pata rakhta
अगर वो मिल के बिछड़ने का हौसला रखता
तो दरमियाँ न मुक़द्दर का फ़ैसला रखता
वो मुझ को भूल चुका अब यक़ीन है वर्ना
वफ़ा नहीं तो जफ़ाओं का सिलसिला रखता
भटक रहे हैं मुसाफ़िर तो रास्ते गुम हैं
अँधेरी रात में दीपक कोई जला रखता
महक महक के बिखरती हैं उस के आँगन में
वो अपने घर का दरीचा अगर खुला रखता
अगर वो चाँद की बस्ती का रहने वाला था
तो अपने साथ सितारों का क़ाफ़िला रखता
जिसे ख़बर नहीं ख़ुद अपनी ज़ात की 'ज़र्रीं'
वो दूसरों का भला किस तरह पता रखता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iffat Zarrin
our suggestion based on Iffat Zarrin
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari