khwaab aankhon se zabaan se har kahaani le gaya
mukhtasar ye hai vo meri zindagaani le gaya
phool se mausam ki barsaatein hawaon ki mahak
ab ke mausam ki vo sab shaamen suhaani le gaya
de gaya mujh ko saraabo ka sukoot-e-mustaqil
mere ashkon se vo dariya ki rawaani le gaya
khaak ab udne lagi maidaan sehra ho gaye
ret ka toofaan daryaon se paani le gaya
kaun pahchaanega zarrein mujh ko itni bheed mein
mere chehre se vo apni har nishaani le gaya
ख़्वाब आँखों से ज़बाँ से हर कहानी ले गया
मुख़्तसर ये है वो मेरी ज़िंदगानी ले गया
फूल से मौसम की बरसातें हवाओं की महक
अब के मौसम की वो सब शामें सुहानी ले गया
दे गया मुझ को सराबों का सुकूत-ए-मुस्तक़िल
मेरे अश्कों से वो दरिया की रवानी ले गया
ख़ाक अब उड़ने लगी मैदान सहरा हो गए
रेत का तूफ़ान दरियाओं से पानी ले गया
कौन पहचानेगा 'ज़र्रीं' मुझ को इतनी भीड़ में
मेरे चेहरे से वो अपनी हर निशानी ले गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iffat Zarrin
our suggestion based on Iffat Zarrin
As you were reading Aansoo Shayari Shayari