zehan o dil ke faasle the ham jinhen sahte rahe
ek hi ghar mein bahut se ajnabi rahte rahe
door tak saahil pe dil ke aabloon ka aks tha
kashtiyaan sholon ki dariya mom ke bahte rahe
kaise pahunchen manzilon tak vahshaton ke qafile
ham saraabo se safar ki dastaan kahte rahe
aane waale mausamon ko taazgi milti gai
apni fasl-e-aarzoo ko ham khizaan kahte rahe
kaise mit paaye'ngi zarrein ye hadein afkaar ki
toot kar dil ke kinaare door tak bahte rahe
ज़ेहन ओ दिल के फ़ासले थे हम जिन्हें सहते रहे
एक ही घर में बहुत से अजनबी रहते रहे
दूर तक साहिल पे दिल के आबलों का अक्स था
कश्तियाँ शोलों की दरिया मोम के बहते रहे
कैसे पहुँचे मंज़िलों तक वहशतों के क़ाफ़िले
हम सराबों से सफ़र की दास्ताँ कहते रहे
आने वाले मौसमों को ताज़गी मिलती गई
अपनी फ़स्ल-ए-आरज़ू को हम ख़िज़ाँ कहते रहे
कैसे मिट पाएँगी 'ज़र्रीं' ये हदें अफ़्कार की
टूट कर दिल के किनारे दूर तक बहते रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iffat Zarrin
our suggestion based on Iffat Zarrin
As you were reading Travel Shayari Shayari