rooh jismoon se baahar bhatkati rahi | रूह जिस्मों से बाहर भटकती रही

  - Iffat Zarrin

rooh jismoon se baahar bhatkati rahi
zakhmi yaadon ko aanchal se dhakti rahi

mere haathon mein theen gard ki chadaren
zindagi thi ke daaman jhatkati rahi

chaandni mein haseen zahar ghulta raha
sar ko marmar pe naagin patakti rahi

main ghataon se khud ko bachaati rahi
teg bijli ki sar pe latkati rahi

mere honton ko kab mil saki baansuri
saans zarrein labon pe atakti rahi

रूह जिस्मों से बाहर भटकती रही
ज़ख़्मी यादों को आँचल से ढकती रही

मेरे हाथों में थीं गर्द की चादरें
ज़िंदगी थी के दामन झटकती रही

चाँदनी में हसीं ज़हर घुलता रहा
सर को मरमर पे नागिन पटकती रही

मैं घटाओं से ख़ुद को बचाती रही
तेग़ बिजली की सर पे लटकती रही

मेरे होंटों को कब मिल सकी बाँसुरी
साँस 'ज़र्रीं' लबों पे अटकती रही

  - Iffat Zarrin

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iffat Zarrin

As you were reading Shayari by Iffat Zarrin

Similar Writers

our suggestion based on Iffat Zarrin

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari