jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte | जिस्म-ओ-जाँ की बस्ती में सिलसिले नहीं मिलते

  - Iffat Zarrin

jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte
ab kisi bhi markaz se daayere nahin milte

do-qadam bichhadne se qafile nahin milte
manzilen to milti hain raaste nahin milte

baarha tarasha hai ham ne aap ka chehra
aap ko na jaane kyun aaine nahin milte

waqt ki kami kah kar jehal ko chhupaate hain
aaj-kal kitaabon mein haashie nahin milte

aaj bhi zamaane mein aadmi karishma hain
sho'bde to milte hain mo'jize nahin milte

zindagi ka har lamha aarzoo ka dushman hai
haadson ki khwaahish mein haadse nahin milte

aaj qatl karna bhi ban gaya hai fan zarrein
qatl karne waalon ke kuchh pate nahin milte

जिस्म-ओ-जाँ की बस्ती में सिलसिले नहीं मिलते
अब किसी भी मरकज़ से दाएरे नहीं मिलते

दो-क़दम बिछड़ने से क़ाफ़िले नहीं मिलते
मंज़िलें तो मिलती हैं रास्ते नहीं मिलते

बारहा तराशा है हम ने आप का चेहरा
आप को न जाने क्यूँ आइने नहीं मिलते

वक़्त की कमी कह कर जेहल को छुपाते हैं
आज-कल किताबों में हाशिए नहीं मिलते

आज भी ज़माने में आदमी करिश्मा हैं
शो'बदे तो मिलते हैं मो'जिज़े नहीं मिलते

ज़िंदगी का हर लम्हा आरज़ू का दुश्मन है
हादसों की ख़्वाहिश में हादसे नहीं मिलते

आज क़त्ल करना भी बन गया है फ़न 'ज़र्रीं'
क़त्ल करने वालों के कुछ पते नहीं मिलते

  - Iffat Zarrin

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iffat Zarrin

As you were reading Shayari by Iffat Zarrin

Similar Writers

our suggestion based on Iffat Zarrin

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari