khauf ke sail-e-musalsal se nikale mujhe koi
main payambar to nahin hoon ki bacha le mujhe koi
apni duniya ke mah-o-mehr samete sar-e-shaam
kar gaya jaada-e-farda ke hawaale mujhe koi
itni der aur tavakkuf ki ye aankhen bujh jaayen
kisi be-noor kharaabe mein ujaale mujhe koi
kis ko furqat hai ki ta'aamir kare az-sar-e-nau
khana-e-khwaab ke malbe se nikale mujhe koi
ab kahi ja ke sameti hai umeedon ki bisaat
warna ik umr ki zid thi ki sambhaale mujhe koi
kya ajab khema-e-jaan teri tanaabein kat jaayen
is se pehle ki hawaon mein uchaale mujhe koi
kaisi khwaahish thi ki socho to hasi aati hai
jaise main chaahoon usi tarah bana le mujhe koi
teri marzi meri taqdeer ki tanhaa rah jaaun
magar ik aas to de paalne waale mujhe koi
ख़ौफ़ के सैल-ए-मुसलसल से निकाले मुझे कोई
मैं पयम्बर तो नहीं हूँ कि बचा ले मुझे कोई
अपनी दुनिया के मह-ओ-मेहर समेटे सर-ए-शाम
कर गया जादा-ए-फ़र्दा के हवाले मुझे कोई
इतनी देर और तवक़्क़ुफ़ कि ये आँखें बुझ जाएँ
किसी बे-नूर ख़राबे में उजाले मुझे कोई
किस को फ़ुर्सत है कि ता'मीर करे अज़-सर-ए-नौ
ख़ाना-ए-ख़्वाब के मलबे से निकाले मुझे कोई
अब कहीं जा के समेटी है उमीदों की बिसात
वर्ना इक उम्र की ज़िद थी कि सँभाले मुझे कोई
क्या अजब ख़ेमा-ए-जाँ तेरी तनाबें कट जाएँ
इस से पहले कि हवाओं में उछाले मुझे कोई
कैसी ख़्वाहिश थी कि सोचो तो हँसी आती है
जैसे मैं चाहूँ उसी तरह बना ले मुझे कोई
तेरी मर्ज़ी मिरी तक़दीर कि तन्हा रह जाऊँ
मगर इक आस तो दे पालने वाले मुझे कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Dar Shayari Shayari