dost kya khud ko bhi pursish ki ijaazat nahin di | दोस्त क्या ख़ुद को भी पुर्सिश की इजाज़त नहीं दी

  - Iftikhar Arif

dost kya khud ko bhi pursish ki ijaazat nahin di
dil ko khun hone diya aankh ko zahmat nahin di

ham bhi us silsila-e-ishq mein bai'at hain jise
hijr ne dukh na diya vasl ne raahat nahin di

ham bhi ik shaam bahut uljhe hue the khud mein
ek shaam us ko bhi haalaat ne mohlat nahin di

aajizi bakshi gai tamaknat-e-fakr ke saath
dene waale ne hamein kaun si daulat nahin di

bewafa dost kabhi laut ke aaye to unhen
ham ne izhaar-e-nadaamat ki aziyyat nahin di

dil kabhi khwaab ke peeche kabhi duniya ki taraf
ek ne ajr diya ek ne ujrat nahin di

दोस्त क्या ख़ुद को भी पुर्सिश की इजाज़त नहीं दी
दिल को ख़ूँ होने दिया आँख को ज़हमत नहीं दी

हम भी उस सिलसिला-ए-इश्क़ में बैअत हैं जिसे
हिज्र ने दुख न दिया वस्ल ने राहत नहीं दी

हम भी इक शाम बहुत उलझे हुए थे ख़ुद में
एक शाम उस को भी हालात ने मोहलत नहीं दी

आजिज़ी बख़्शी गई तमकनत-ए-फ़क़्र के साथ
देने वाले ने हमें कौन सी दौलत नहीं दी

बेवफ़ा दोस्त कभी लौट के आए तो उन्हें
हम ने इज़हार-ए-नदामत की अज़िय्यत नहीं दी

दिल कभी ख़्वाब के पीछे कभी दुनिया की तरफ़
एक ने अज्र दिया एक ने उजरत नहीं दी

  - Iftikhar Arif

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari