ham apne raftagaan ko yaad rakhna chahte hain | हम अपने रफ़्तगाँ को याद रखना चाहते हैं

  - Iftikhar Arif

ham apne raftagaan ko yaad rakhna chahte hain
dilon ko dard se aabaad rakhna chahte hain

mubaada mundamil zakhamon ki soorat bhool hi jaayen
abhi kuchh din ye ghar barbaad rakhna chahte hain

bahut raunaq thi un ke dam qadam se shahr-e-jaan mein
wahi raunaq ham un ke ba'ad rakhna chahte hain

bahut mushkil zamaanon mein bhi ham ahl-e-mohabbat
wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain

saroon mein ek hi sauda ki lau dene lage khaak
umeedein hasb-e-istedaad rakhna chahte hain

kahi aisa na ho harf-e-dua mafhoom kho de
dua ko soorat-e-fariyaad rakhna chahte hain

qalam aalooda-e-naan-o-namak rehta hai phir bhi
jahaan tak ho sake azaad rakhna chahte hain

हम अपने रफ़्तगाँ को याद रखना चाहते हैं
दिलों को दर्द से आबाद रखना चाहते हैं

मुबादा मुंदमिल ज़ख़्मों की सूरत भूल ही जाएँ
अभी कुछ दिन ये घर बरबाद रखना चाहते हैं

बहुत रौनक़ थी उन के दम क़दम से शहर-ए-जाँ में
वही रौनक़ हम उन के बा'द रखना चाहते हैं

बहुत मुश्किल ज़मानों में भी हम अहल-ए-मोहब्बत
वफ़ा पर इश्क़ की बुनियाद रखना चाहते हैं

सरों में एक ही सौदा कि लौ देने लगे ख़ाक
उमीदें हस्ब-ए-इस्तेदाद रखना चाहते हैं

कहीं ऐसा न हो हर्फ़-ए-दुआ मफ़्हूम खो दे
दुआ को सूरत-ए-फ़रियाद रखना चाहते हैं

क़लम आलूदा-ए-नान-ओ-नमक रहता है फिर भी
जहाँ तक हो सके आज़ाद रखना चाहते हैं

  - Iftikhar Arif

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari