azaab-e-vahshat-e-jaan ka sila na maange koi | अज़ाब-ए-वहशत-ए-जाँ का सिला न माँगे कोई

  - Iftikhar Arif

azaab-e-vahshat-e-jaan ka sila na maange koi
naye safar ke liye raasta na maange koi

buland haathon mein zanjeer daal dete hain
ajeeb rasm chali hai dua na maange koi

tamaam shehar mukarram bas ek mujrim main
so mere ba'ad mera khoon-bahaa na maange koi

koi to shahr-e-tazbzub ke saakino se kahe
na ho yaqeen to phir mo'jiza na maange koi

azaab-e-gard-e-khizaan bhi na ho bahaar bhi aaye
is ehtiyaat se ajr-e-wafa na maange koi

अज़ाब-ए-वहशत-ए-जाँ का सिला न माँगे कोई
नए सफ़र के लिए रास्ता न माँगे कोई

बुलंद हाथों में ज़ंजीर डाल देते हैं
अजीब रस्म चली है दुआ न माँगे कोई

तमाम शहर मुकर्रम बस एक मुजरिम मैं
सो मेरे बा'द मिरा ख़ूँ-बहा न माँगे कोई

कोई तो शहर-ए-तज़ब्ज़ुब के साकिनों से कहे
न हो यक़ीन तो फिर मो'जिज़ा न माँगे कोई

अज़ाब-ए-गर्द-ए-ख़िज़ाँ भी न हो बहार भी आए
इस एहतियात से अज्र-ए-वफ़ा न माँगे कोई

  - Iftikhar Arif

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari