koi to phool khilaaye dua ke lehje mein | कोई तो फूल खिलाए दुआ के लहजे में

  - Iftikhar Arif

koi to phool khilaaye dua ke lehje mein
ajab tarah ki ghutan hai hawa ke lehje mein

ye waqt kis ki raunat pe khaak daal gaya
ye kaun bol raha tha khuda ke lehje mein

na jaane khalk-e-khuda kaun se azaab mein hai
hawaaein cheekh padeen iltijaa ke lehje mein

khula fareb-e-mohabbat dikhaai deta hai
ajab kamaal hai us bewafa ke lehje mein

yahi hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir
ham apna haal kaheinge chhupa ke lehje mein

कोई तो फूल खिलाए दुआ के लहजे में
अजब तरह की घुटन है हवा के लहजे में

ये वक़्त किस की रऊनत पे ख़ाक डाल गया
ये कौन बोल रहा था ख़ुदा के लहजे में

न जाने ख़ल्क़-ए-ख़ुदा कौन से अज़ाब में है
हवाएँ चीख़ पड़ीं इल्तिजा के लहजे में

खुला फ़रेब-ए-मोहब्बत दिखाई देता है
अजब कमाल है उस बेवफ़ा के लहजे में

यही है मस्लहत-ए-जब्र-ए-एहतियात तो फिर
हम अपना हाल कहेंगे छुपा के लहजे में

  - Iftikhar Arif

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari