abhi kuchh din lagenge
dil aise shehar ke paamaal ho jaane ka manzar bhoolne mein
abhi kuchh din lagenge
jahaan-e-rang ke saare khas-o-khaashaak sab sarv-o-sanobar bhoolne mein abhi kuchh din lagenge
thake haare hue khwaabon ke saahil par kahi ummeed ka chhota sa ik ghar
bante bante rah gaya hai
vo ik ghar bhoolne mein abhi kuchh din lagenge
magar ab din bhi kitne rah gaye hain
bas ik din dil ki lauh-e-muntazir par
aachaanak
raat utaregi
meri be-noor aankhon ke khazaane mein chhupe har khwaab ki takmeel kar degi
mujhe bhi khwaab mein tabdeel kar degi
ik aisa khwaab jas ka dekhna mumkin nahin tha
ik aisa khwaab jis ke daaman-e-sad-chaak mein koi mubarak koi raushan din nahin tha
abhi kuchh din lagenge
अभी कुछ दिन लगेंगे
दिल ऐसे शहर के पामाल हो जाने का मंज़र भूलने में
अभी कुछ दिन लगेंगे
जहान-ए-रंग के सारे ख़स-ओ-ख़ाशाक सब सर्व-ओ-सनोबर भूलने में अभी कुछ दिन लगेंगे
थके हारे हुए ख़्वाबों के साहिल पर कहीं उम्मीद का छोटा सा इक घर
बनते बनते रह गया है
वो इक घर भूलने में अभी कुछ दिन लगेंगे
मगर अब दिन भी कितने रह गए हैं
बस इक दिन दिल की लौह-ए-मुंतज़िर पर
आचानक
रात उतरेगी
मिरी बे-नूर आँखों के ख़ज़ाने में छुपे हर ख़्वाब की तकमील कर देगी
मुझे भी ख़्वाब में तब्दील कर देगी
इक ऐसा ख़्वाब जस का देखना मुमकिन नहीं था
इक ऐसा ख़्वाब जिस के दामन-ए-सद-चाक में कोई मुबारक कोई रौशन दिन नहीं था
अभी कुछ दिन लगेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Dil Shayari Shayari