ali-iftikhaar ki maa se main ne bata diya hai ki apne bete ko
titliyon ke qareeb jaane se rokiye
use rokiye ki padosiyon ke gharo mein jhoole pade hue hain to us se kya
use kya padi ki kabootaron ko bataaye kaise hawaaein us ki patang cheen ke le gaeein
ali-iftikhaar ki maa se main ne bata diya hai ki apne bete
ko titliyon ke qareeb jaane se rokiye
kahi yun na ho ki phir ek baar bhari bahaar mein e'tibaar ke saare zakham mahak uthe
kahi yun na ho ki naye sire se hamaare zakham mahak uthe
ali-iftikhaar ki maa se main ne bata diya hai ki apne bete ko
titliyon ke qareeb jaane se rokiye
अली-इफ़्तिख़ार' की माँ से मैं ने बता दिया है कि अपने बेटे को
तितलियों के क़रीब जाने से रोकिए
उसे रोकिए कि पड़ोसियों के घरों में झूले पड़े हुए हैं तो उस से क्या
उसे क्या पड़ी कि कबूतरों को बताए कैसे हवाएँ उस की पतंग छीन के ले गईं
'अली-इफ़्तिख़ार' की माँ से मैं ने बता दिया है कि अपने बेटे
को तितलियों के क़रीब जाने से रोकिए
कहीं यूँ न हो कि फिर एक बार भरी बहार में ए'तिबार के सारे ज़ख़्म महक उठें
कहीं यूँ न हो कि नए सिरे से हमारे ज़ख़्म महक उठें
'अली-इफ़्तिख़ार' की माँ से मैं ने बता दिया है कि अपने बेटे को
तितलियों के क़रीब जाने से रोकिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Gulshan Shayari Shayari