basti bhi samundar bhi biyaabaan bhi mera hai
aankhen bhi meri khwaab-e-pareshaan bhi mera hai
jo doobti jaati hai vo kashti bhi hai meri
jo tootaa jaata hai vo paimaan bhi mera hai
jo haath uthe the vo sabhi haath the mere
jo chaak hua hai vo girebaan bhi mera hai
jis ki koi awaaz na pehchaan na manzil
vo qaafila-e-be-sar-o-saamaan bhi mera hai
veeraana-e-maqtal pe hijaab aaya to is baar
khud cheekh pada main ki ye unwaan bhi mera hai
waarftagi-e-subh-e-bashaarat ko khabar kya
andesha-e-sad-shaam-e-ghareeba'n bhi mera hai
main waaris-e-gul hoon ki nahin hoon magar ai jaan
khamyaaza-e-tauheen-e-bahaara'n bhi mera hai
mitti ki gawaahi se badi dil ki gawaahi
yun ho to ye zanjeer ye zindaan bhi mera hai
बस्ती भी समुंदर भी बयाबाँ भी मिरा है
आँखें भी मिरी ख़्वाब-ए-परेशाँ भी मिरा है
जो डूबती जाती है वो कश्ती भी है मेरी
जो टूटता जाता है वो पैमाँ भी मिरा है
जो हाथ उठे थे वो सभी हाथ थे मेरे
जो चाक हुआ है वो गिरेबाँ भी मिरा है
जिस की कोई आवाज़ न पहचान न मंज़िल
वो क़ाफ़िला-ए-बे-सर-ओ-सामाँ भी मिरा है
वीराना-ए-मक़तल पे हिजाब आया तो इस बार
ख़ुद चीख़ पड़ा मैं कि ये उनवाँ भी मिरा है
वारफ़्तगी-ए-सुब्ह-ए-बशारत को ख़बर क्या
अंदेशा-ए-सद-शाम-ए-ग़रीबाँ भी मिरा है
मैं वारिस-ए-गुल हूँ कि नहीं हूँ मगर ऐ जान
ख़मयाज़ा-ए-तौहीन-ए-बहाराँ भी मिरा है
मिट्टी की गवाही से बड़ी दिल की गवाही
यूँ हो तो ये ज़ंजीर ये ज़िंदाँ भी मिरा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Samundar Shayari Shayari