khwaab ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai | ख़्वाब की तरह बिखर जाने को जी चाहता है

  - Iftikhar Arif

khwaab ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai
aisi tanhaai ki mar jaane ko jee chahta hai

ghar ki vehshat se larzata hoon magar jaane kyun
shaam hoti hai to ghar jaane ko jee chahta hai

doob jaaun to koi mauj nishaan tak na bataaye
aisi naddi mein utar jaane ko jee chahta hai

kabhi mil jaaye to raaste ki thakan jaag pade
aisi manzil se guzar jaane ko jee chahta hai

wahi paimaan jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paimaan se mukar jaane ko jee chahta hai

ख़्वाब की तरह बिखर जाने को जी चाहता है
ऐसी तन्हाई कि मर जाने को जी चाहता है

घर की वहशत से लरज़ता हूँ मगर जाने क्यूँ
शाम होती है तो घर जाने को जी चाहता है

डूब जाऊँ तो कोई मौज निशाँ तक न बताए
ऐसी नद्दी में उतर जाने को जी चाहता है

कभी मिल जाए तो रस्ते की थकन जाग पड़े
ऐसी मंज़िल से गुज़र जाने को जी चाहता है

वही पैमाँ जो कभी जी को ख़ुश आया था बहुत
उसी पैमाँ से मुकर जाने को जी चाहता है

  - Iftikhar Arif

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari