wahi pyaas hai wahi dasht hai wahi gharaana hai | वही प्यास है वही दश्त है वही घराना है - Iftikhar Arif

wahi pyaas hai wahi dasht hai wahi gharaana hai
mashkize se teer ka rishta bahut puraana hai

subh savere ran padna hai aur ghamsaan ka ran
raaton raat chala jaaye jis jis ko jaana hai

ek charaagh aur ek kitaab aur ek umeed-e-asaasa
us ke ba'ad to jo kuch hai vo sab afsaana hai

dariya par qabza tha jis ka us ki pyaas azaab
jis ki dhaalen chamak rahi theen wahi nishaana hai

kaasa-e-shaam mein suraj ka sar aur aawaaz-e-azaan
aur aawaaz-e-azaan kahti hai farz nibhaana hai

sab kahte hain aur koi din ye hangaama-e-dehr
dil kehta hai ek musaafir aur bhi aana hai

ek jazeera us ke aage peeche saath samundar
saath samundar paar suna hai ek khazana hai

वही प्यास है वही दश्त है वही घराना है
मश्कीज़े से तीर का रिश्ता बहुत पुराना है

सुब्ह सवेरे रन पड़ना है और घमसान का रन
रातों रात चला जाए जिस जिस को जाना है

एक चराग़ और एक किताब और एक उमीद-ए-असासा
उस के बा'द तो जो कुछ है वो सब अफ़्साना है

दरिया पर क़ब्ज़ा था जिस का उस की प्यास अज़ाब
जिस की ढालें चमक रही थीं वही निशाना है

कासा-ए-शाम में सूरज का सर और आवाज़-ए-अज़ाँ
और आवाज़-ए-अज़ाँ कहती है फ़र्ज़ निभाना है

सब कहते हैं और कोई दिन ये हंगामा-ए-दहर
दिल कहता है एक मुसाफ़िर और भी आना है

एक जज़ीरा उस के आगे पीछे सात समुंदर
सात समुंदर पार सुना है एक ख़ज़ाना है

- Iftikhar Arif
0 Likes

Kitab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Kitab Shayari Shayari