haami bhi na the munkir-e-'ghalib bhi nahin the
ham ahl-e-tazbuzub kisi jaanib bhi nahin the
is baar bhi duniya ne hadf ham ko banaya
is baar to ham shah ke musahib bhi nahin the
bech aaye sar-e-qarya-e-zar jauhar-e-pindaar
jo daam mile aise munaasib bhi nahin the
mitti ki mohabbat mein ham aashufta-saron ne
vo qarz utaare hain ki waajib bhi nahin the
lau deti hui raat sukhun karta hua din
sab us ke liye jis se mukhaatib bhi nahin the
हामी भी न थे मुंकिर-ए-'ग़ालिब' भी नहीं थे
हम अहल-ए-तज़बज़ुब किसी जानिब भी नहीं थे
इस बार भी दुनिया ने हदफ़ हम को बनाया
इस बार तो हम शह के मुसाहिब भी नहीं थे
बेच आए सर-ए-क़र्या-ए-ज़र जौहर-ए-पिंदार
जो दाम मिले ऐसे मुनासिब भी नहीं थे
मिट्टी की मोहब्बत में हम आशुफ़्ता-सरों ने
वो क़र्ज़ उतारे हैं कि वाजिब भी नहीं थे
लौ देती हुई रात सुख़न करता हुआ दिन
सब उस के लिए जिस से मुख़ातिब भी नहीं थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading I love you Shayari Shayari