kyun kisi se ho shikaayat aap ko
aap hi se hai mohabbat aap ko
har taraf raksaan fareb-e-iltifaat
muskuraane ki hai aadat aap ko
jaane kab tak sabr karna hai hamein
jaane kab hogi nadaamat aap ko
quwwat-e-bardaasht meri kam na ho
aur khuda rakhe salaamat aap ko
farq padta kuchh to karta arz kuchh
kya sunaau dil ki durgat aap ko
muskuraa deta hoon main takleef mein
aur ho jaati hai zahmat aap ko
kis ko raaghib ab wafa ka paas hai
kyun na ham samjhen ghaneemat aap ko
क्यों किसी से हो शिकायत आप को
आप ही से है मोहब्बत आप को
हर तरफ़ रक़्साँ फ़रेब-ए-इल्तिफ़ात
मुस्कुराने की है आदत आप को
जाने कब तक सब्र करना है हमें
जाने कब होगी नदामत आप को
क़ुव्वत-ए-बर्दाश्त मेरी कम न हो
और ख़ुदा रखे सलामत आप को
फ़र्क़ पड़ता कुछ तो करता अर्ज़ कुछ
क्या सुनाऊँ दिल की दुर्गत आप को
मुस्कुरा देता हूँ मैं तकलीफ़ में
और हो जाती है ज़हमत आप को
किस को 'राग़िब' अब वफ़ा का पास है
क्यों न हम समझें ग़नीमत आप को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Sabr Shayari Shayari