band darwaaze khule rooh mein daakhil hua main | बंद दरवाज़े खुले रूह में दाख़िल हुआ मैं

  - Irshad Khan Sikandar

band darwaaze khule rooh mein daakhil hua main
chand sajdon se tiri zaat mein shaamil hua main

kheench laai hai mohabbat tire dar par mujh ko
itni aasaani se warna kise haasil hua main

muddaton aankhen wazu karti raheen ashkon se
tab kahi ja ke tiri deed ke qaabil hua main

jab tire paanv ki aahat meri jaanib aayi
sar se pa tak mujhe us waqt laga dil hua main

jab main aaya tha jahaan mein to bahut aalim tha
jitni taaleem mili utna hi jaahil hua main

phool se zakham ki khushboo se moattar ghazlein
lutf dene lagin aur dard se ghaafil hua main

mojzze ishq dikhaata hai sikandar-saahib
chot to us ko lagi dekhiye chotil hua main

बंद दरवाज़े खुले रूह में दाख़िल हुआ मैं
चंद सज्दों से तिरी ज़ात में शामिल हुआ मैं

खींच लाई है मोहब्बत तिरे दर पर मुझ को
इतनी आसानी से वर्ना किसे हासिल हुआ मैं

मुद्दतों आँखें वज़ू करती रहीं अश्कों से
तब कहीं जा के तिरी दीद के क़ाबिल हुआ मैं

जब तिरे पाँव की आहट मिरी जानिब आई
सर से पा तक मुझे उस वक़्त लगा दिल हुआ मैं

जब मैं आया था जहाँ में तो बहुत आलिम था
जितनी तालीम मिली उतना ही जाहिल हुआ मैं

फूल से ज़ख़्म की ख़ुश्बू से मोअत्तर ग़ज़लें
लुत्फ़ देने लगीं और दर्द से ग़ाफ़िल हुआ मैं

मोजज़े इश्क़ दिखाता है 'सिकंदर'-साहिब
चोट तो उस को लगी देखिए चोटिल हुआ मैं

  - Irshad Khan Sikandar

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Irshad Khan Sikandar

As you were reading Shayari by Irshad Khan Sikandar

Similar Writers

our suggestion based on Irshad Khan Sikandar

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari