taarif us khuda ki jis ne jahaanbanaaya
kaisi zameen banaai kya aasmaan banaya
paanv tale bichaaya kya khoob farsh-e-khaaki
aur sar pe laajwardi ik saayebaan banaya
mitti se bel-boote kya khushnuma ugaae
pahna ke sabz khilat un ko jawaan banaya
khush-rang aur khushboo gul phool hain khilaaye
is khaak ke khandar ko kya gulistaan banaya
meve lagaaye kya kya khush-zaaeqaa raseele
chakhne se jin ke mujh ko sheerin-dahaan banaya
suraj bana ke tu ne raunaq jahaanko bakshi
rahne ko ye hamaare achha makaan banaya
pyaasi zameen ke munh mein meh ka chuwaaia paani
aur baadlon ko tu ne meh ka nishaan banaya
ye pyaari pyaari chidiyaanfirti hain jo chahakti
qudrat ne teri un ko tasbeeh-khwaan banaya
tinke utha utha kar laaien kahaankahaaanse
kis khoob-soorati se phir aashiyaan banaya
unchi uddein hawa mein bacchon ko par na bhoolen
in be-paron ka un ko rozee-rasaan banaya
kya doodh dene waali gaaeinbanaaien tu ne
chadhne ko mere ghoda kya khush-inaan banaya
rahmat se teri kya kya hain nematein mayassar
in nematon ka mujh ko hai qadr-daan banaya
aab-e-ravaanke andar machhli banaai tu ne
machhli ke tairne ko aab-e-ravaan banaya
har cheez se hai teri kaarigari tapakti
ye kaarkhaana tu ne kab raayegaan banaya
तारीफ़ उस ख़ुदा की जिस ने जहांबनाया
कैसी ज़मीं बनाई क्या आसमां बनाया
पांव तले बिछाया क्या ख़ूब फ़र्श-ए-ख़ाकी
और सर पे लाजवर्दी इक साएबां बनाया
मिट्टी से बेल-बूटे क्या ख़ुशनुमा उगाए
पहना के सब्ज़ ख़िलअत उन को जवां बनाया
ख़ुश-रंग और ख़ुशबू गुल फूल हैं खिलाए
इस ख़ाक के खंडर को क्या गुलिस्तां बनाया
मेवे लगाए क्या क्या ख़ुश-ज़ाएक़ा रसीले
चखने से जिन के मुझ को शीरीं-दहां बनाया
सूरज बना के तू ने रौनक़ जहांको बख़्शी
रहने को ये हमारे अच्छा मकां बनाया
प्यासी ज़मीं के मुंह में मेंह का चुवाया पानी
और बादलों को तू ने मेंह का निशां बनाया
ये प्यारी प्यारी चिड़ियांफिरती हैं जो चहकती
क़ुदरत ने तेरी उन को तस्बीह-ख़्वां बनाया
तिनके उठा उठा कर लाईं कहांकहांसे
किस ख़ूब-सूरती से फिर आशियां बनाया
ऊंची उड़ें हवा में बच्चों को पर न भूलें
इन बे-परों का उन को रोज़ी-रसां बनाया
क्या दूध देने वाली गाएंबनाईं तू ने
चढ़ने को मेरे घोड़ा क्या ख़ुश-इनां बनाया
रहमत से तेरी क्या क्या हैं नेमतें मयस्सर
इन नेमतों का मुझ को है क़द्र-दां बनाया
आब-ए-रवांके अंदर मछली बनाई तू ने
मछली के तैरने को आब-ए-रवां बनाया
हर चीज़ से है तेरी कारीगरी टपकती
ये कारख़ाना तू ने कब राएगां बनाया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ismail Merathi
our suggestion based on Ismail Merathi
As you were reading Pollution Shayari Shayari