zara si baat pe har rasm tod aaya tha
dil-e-tabah ne bhi kya mizaaj paaya tha
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi to main use pehchaan bhi na paaya tha
muaaf kar na saki meri zindagi mujh ko
vo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha
shagufta phool simat kar kali bane jaise
kuchh is kamaal se tu ne badan churaaya tha
pata nahin ki mere baad un pe kya guzri
main chand khwaab zamaane mein chhod aaya tha
ज़रा सी बात पे हर रस्म तोड़ आया था
दिल-ए-तबाह ने भी क्या मिज़ाज पाया था
गुज़र गया है कोई लम्हा-ए-शरर की तरह
अभी तो मैं उसे पहचान भी न पाया था
मुआफ़ कर न सकी मेरी ज़िंदगी मुझ को
वो एक लम्हा कि मैं तुझ से तंग आया था
शगुफ़्ता फूल सिमट कर कली बने जैसे
कुछ इस कमाल से तू ने बदन चुराया था
पता नहीं कि मिरे बाद उन पे क्या गुज़री
मैं चंद ख़्वाब ज़माने में छोड़ आया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Rose Shayari Shayari