fazaaon mein hai subh ka rang taari | फ़ज़ाओं में है सुब्ह का रंग तारी

  - Jaan Nisar Akhtar

fazaaon mein hai subh ka rang taari
gai hai abhi girls college ki laari
gai hai abhi goonjti gungunaati
zamaane ki raftaar ka raag gaati
lachakti hui si chhalkati hui si
bahkati hui si mehkati hui si
vo sadkon pe phoolon ki dhaari si banti
idhar se udhar se haseenon ko chuntee
jhalkate vo sheeshon mein shaadaab chehre
vo kaliyaan si khulti hui munh andhere
vo maathe pe saari ke rangeen kinaare
sehar se nikalti shafaq ke ishaare
kisi ki ada se ayaan khush-mazaqi
kisi ki nigaahon mein kuchh neend baaki
kisi ki nazar mein mohabbat ke dohe
sakhi ri ye jeevan piya bin na sohe
ye khidki ka rangeen sheesha giraaye
vo sheeshe se rangeen chehra milaaye
ye chalti zameen pe nigaahen jamaati
vo honton mein apne qalam ko dabaati
ye khidki se ik haath baahar nikale
vo zaanoo pe girti kitaaben sambhaale
kisi ko vo har baar tevari si chadhti
dukano ke takhte adhoore se padhti
koi ik taraf ko simatti hui si
kinaare ko saari ke batti hui si
vo laari mein goonje hue zamzame se
dabii muskuraahat subuk qahqahe se
vo lahjon mein chaandi khanakti hui si
vo nazaron se kaliyaan chatkati hui si
saroon se vo aanchal dhalkte hue se
vo shaanon se saaghar chhalakte hue se
jawaani nigaahon mein bahki hui si
mohabbat takhayyul mein bahki hui si
vo aapas ki chheden vo jhoote fasaane
koi un ki baaton ko kaise na maane
fasana bhi un ka taraana bhi un ka
jawaani bhi un ki zamaana bhi un ka

फ़ज़ाओं में है सुब्ह का रंग तारी
गई है अभी गर्ल्स कॉलेज की लारी
गई है अभी गूँजती गुनगुनाती
ज़माने की रफ़्तार का राग गाती
लचकती हुई सी छलकती हुई सी
बहकती हुई सी महकती हुई सी
वो सड़कों पे फूलों की धारी सी बनती
इधर से उधर से हसीनों को चुनती
झलकते वो शीशों में शादाब चेहरे
वो कलियाँ सी खुलती हुई मुँह अंधेरे
वो माथे पे साड़ी के रंगीं किनारे
सहर से निकलती शफ़क़ के इशारे
किसी की अदा से अयाँ ख़ुश-मज़ाक़ी
किसी की निगाहों में कुछ नींद बाक़ी
किसी की नज़र में मोहब्बत के दोहे
सखी री ये जीवन पिया बिन न सोहे
ये खिड़की का रंगीन शीशा गिराए
वो शीशे से रंगीन चेहरा मिलाए
ये चलती ज़मीं पे निगाहें जमाती
वो होंटों में अपने क़लम को दबाती
ये खिड़की से इक हाथ बाहर निकाले
वो ज़ानू पे गिरती किताबें सँभाले
किसी को वो हर बार तेवरी सी चढ़ती
दुकानों के तख़्ते अधूरे से पढ़ती
कोई इक तरफ़ को सिमटती हुई सी
किनारे को साड़ी के बटती हुई सी
वो लारी में गूँजे हुए ज़मज़मे से
दबी मुस्कुराहट सुबुक क़हक़हे से
वो लहजों में चाँदी खनकती हुई सी
वो नज़रों से कलियाँ चटकती हुई सी
सरों से वो आँचल ढलकते हुए से
वो शानों से साग़र छलकते हुए से
जवानी निगाहों में बहकी हुई सी
मोहब्बत तख़य्युल में बहकी हुई सी
वो आपस की छेड़ें वो झूटे फ़साने
कोई उन की बातों को कैसे न माने
फ़साना भी उन का तराना भी उन का
जवानी भी उन की ज़माना भी उन का

  - Jaan Nisar Akhtar

Muskurahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Muskurahat Shayari Shayari