aaj bhi kitni an-ginat shamaein
mere seene mein jhilmilaati hain
kitne aariz ki jhalakiyaan ab tak
dil mein seemin varq lutaati hain
kitne heera-taraash jismoon ki
bijliyaan dil mein kaund jaati hain
kitni taaron se khush-numa aankhen
meri aankhon mein muskuraati hain
kitne honton ki gul-fishaan aanche
mere honton mein sansanaatee hain
kitni shab-taab reshmi zulfen
mere baazu pe sarsarati hain
kitni khush-rang motiyon se bhari
baaliyan dil mein timtimaati hain
kitni gori kalaaiyon ki love
dil ke goshoon mein jagmagaati hain
kitni rangeen hatheliyaan chhup kar
dheeme dheeme kanwal jalaati hain
kitni aanchal se foottee kirnen
mere pahluu mein rasmasaati hain
kitni paayal ki shokh jhankaaren
dil mein chingaariyaan udaati hain
kitni angadaaiyaan dhanak ban kar
khud ubharti hain toot jaati hain
kitni gul-posh naqrai baanhe
dil ko halke mein le ke gaati hain
aaj bhi kitni an-ginat shamaein
mere seene mein jhilmilaati hain
apne is jalva-gar tasavvur ki
jaan-faza dilkashi se zinda hoon
in hi beete jawaan lamhon ki
shokh-taabindagi se zinda hoon
yahi yaadon ki raushni to hai
aaj jis raushni se zinda hoon
aao main tum se e'tiraaf karoon
main isee shaayri se zinda hoon
आज भी कितनी अन-गिनत शमएँ
मेरे सीने में झिलमिलाती हैं
कितने आरिज़ की झलकियाँ अब तक
दिल में सीमीं वरक़ लुटाती हैं
कितने हीरा-तराश जिस्मों की
बिजलियाँ दिल में कौंद जाती हैं
कितनी तारों से ख़ुश-नुमा आँखें
मेरी आँखों में मुस्कुराती हैं
कितने होंटों की गुल-फ़िशाँ आँचें
मेरे होंटों में सनसनाती हैं
कितनी शब-ताब रेशमी ज़ुल्फ़ें
मेरे बाज़ू पे सरसराती हैं
कितनी ख़ुश-रंग मोतियों से भरी
बालियाँ दिल में टिमटिमाती हैं
कितनी गोरी कलाइयों की लवें
दिल के गोशों में जगमगाती हैं
कितनी रंगीं हथेलियाँ छुप कर
धीमे धीमे कँवल जलाती हैं
कितनी आँचल से फूटती किरनें
मेरे पहलू में रसमसाती हैं
कितनी पायल की शोख़ झंकारें
दिल में चिंगारियाँ उड़ाती हैं
कितनी अंगड़ाइयाँ धनक बन कर
ख़ुद उभरती हैं टूट जाती हैं
कितनी गुल-पोश नक़्रई बाँहें
दिल को हल्क़े में ले के गाती हैं
आज भी कितनी अन-गिनत शमएँ
मेरे सीने में झिलमिलाती हैं
अपने इस जल्वा-गर तसव्वुर की
जाँ-फ़ज़ा दिलकशी से ज़िंदा हूँ
इन ही बीते जवान लम्हों की
शोख़-ताबिंदगी से ज़िंदा हूँ
यही यादों की रौशनी तो है
आज जिस रौशनी से ज़िंदा हूँ
आओ मैं तुम से ए'तिराफ़ करूँ
मैं इसी शाइरी से ज़िंदा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Jawani Shayari Shayari