seena dahak raha ho to kya chup rahe koi | सीना दहक रहा हो तो क्या चुप रहे कोई - Jaun Elia

seena dahak raha ho to kya chup rahe koi
kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi

saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahi nahin
rishton mein dhoondhta hai to dhoonda kare koi

tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin
ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi

deewaar jaanta tha jise main vo dhool thi
ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi

main khud ye chahta hoon ki haalaat hoon kharab
mere khilaaf zahar ugalta phire koi

ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuch qubool hai
ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi

haan theek hai main apni ana ka mareez hoon
aakhir mere mizaaj mein kyun dakhl de koi

ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr
kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi

सीना दहक रहा हो तो क्या चुप रहे कोई
क्यूँ चीख़ चीख़ कर न गला छील ले कोई

साबित हुआ सुकून-ए-दिल-ओ-जाँ कहीं नहीं
रिश्तों में ढूँढता है तो ढूँडा करे कोई

तर्क-ए-तअल्लुक़ात कोई मसअला नहीं
ये तो वो रास्ता है कि बस चल पड़े कोई

दीवार जानता था जिसे मैं वो धूल थी
अब मुझ को ए'तिमाद की दावत न दे कोई

मैं ख़ुद ये चाहता हूँ कि हालात हूँ ख़राब
मेरे ख़िलाफ़ ज़हर उगलता फिरे कोई

ऐ शख़्स अब तो मुझ को सभी कुछ क़ुबूल है
ये भी क़ुबूल है कि तुझे छीन ले कोई

हाँ ठीक है मैं अपनी अना का मरीज़ हूँ
आख़िर मिरे मिज़ाज में क्यूँ दख़्ल दे कोई

इक शख़्स कर रहा है अभी तक वफ़ा का ज़िक्र
काश उस ज़बाँ-दराज़ का मुँह नोच ले कोई

- Jaun Elia
61 Likes

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari