jaane kis ki talash un ki aankhon mein thi | जाने किस की तलाश उन की आँखों में थी - Javed Akhtar

jaane kis ki talash un ki aankhon mein thi
aarzoo ke musaafir
bhatkte rahe
jitna bhi vo chale
itne hi bich gaye
raah mein faasle
khwaab manzil the
aur manzilen khwaab theen
raaston se nikalte rahe raaste
jaane kis vaaste
aarzoo ke musaafir bhatkte rahe
jin pe sab chalte hain
aise sab raaste chhod ke
ek anjaan pagdandi ki ungli thaame hue
ik sitaare se
ummeed baandhe hue samt ki
har gumaan ko yaqeen maan ke
apne dil se
koi dhoka khaate hue jaan ke
sehra sehra
samundar ko vo dhoondte
kuch saraabo ki jaanib
rahe gaamzan
yun nahin tha
ki un ko khabar hi na thi
ye samundar nahin
lekin un ko kahi
shaayad ehsaas tha
ye fareb
un ko mahw-e-safar rakkhega
ye sabab tha
ki tha aur koi sabab
jo liye un ko firta raha
manzilon manzilon
raaste raaste
jaane kis vaaste
aarzoo ke musaafir bhatkte rahe
akshar aisa hua
shehr-dar-shehr
aur basti basti
kisi bhi dariche mein
koi charaagh-e-mohabbat na tha
be-rukhi se bhari
saari galiyon mein
saare makaanon ke
darwaaze yun band the
jaise ik sard
khaamosh lehje mein
vo kah rahe hon
muravvat ka aur meherbaani ka maskan
kahi aur hoga
yahan to nahin hai
yahi ek manzar samete the
shehron ke pathreeli sab raaste
jaane kis vaaste
aarzoo ke musaafir bhatkte rahe
aur kabhi yun hua
aarzoo ke musaafir the
jaltee sulagti hui dhoop mein
kuch darakhton ne saaye bichhaaye magar
un ko aisa laga
saaye mein jo sukoon
aur aaraam hai
manzilon tak pahunchne na dega unhen
aur yun bhi hua
mahki kaliyon ne khushboo ke paighaam bheje unhen
un ko aisa laga
chand kaliyon pe kaise qanaat karein
un ko to dhoondhna hai
vo gulshan ki jis ko
kisi ne abhi tak hai dekha nahin
jaane kyun tha unhen is ka poora yaqeen
der ho ya savera un ko lekin kahi
aise gulshan ke mil jaayenge raaste
jaane kis vaaste
aarzoo ke musaafir bhatkte rahe
dhoop dhalne lagi
bas zara der mein raat ho jaayegi
aarzoo ke musaafir jo hain
un ke qadmon tale
jo bhi ik raah hai
vo bhi shaayad andhere mein kho jaayegi
aarzoo ke musaafir bhi
apne thake-haare be-jaan pairo'n pe
kuch der tak ladkhadaayenge
aur gir ke so jaayenge
sirf sannaata sochega ye raat bhar
manzilen to unhen jaane kitni miliin
ye magar
manzilon ko samjhte rahe jaane kyun raaste
jaane kis vaaste
aarzoo ke musaafir bhatkte rahe
aur phir ik savere ki ujli kiran
teergi cheer ke
jagmaga degi
jab an-ginat rahguzaron pe bikhre hue
un ke naqsh-e-qadam
aafiyat-gaahon mein rahne waale
ye hairat se majboor ho ke kaheinge
ye naqsh-e-qadam sirf naqsh-e-qadam hi nahin
ye to daryaft hain
ye to ijaad hain
ye to afkaar hain
ye to ashaar hain
ye koi raqs hain
ye koi raag hain
in se hi to hain aaraasta
saari tahzeeb o taarikh ke
waqt ke
zindagi ke sabhi raaste
vo musaafir magar
jaante-boojhte bhi rahe be-khabar
jis ko choo len qadam
vo to bas raah thi
un ki manzil digar thi
alag chaah thi
jo nahin mil sake us ki thi aarzoo
jo nahin hai kahi us ki thi justuju
shaayad is vaaste
aarzoo ke musaafir bhatkte rahe

जाने किस की तलाश उन की आँखों में थी
आरज़ू के मुसाफ़िर
भटकते रहे
जितना भी वो चले
इतने ही बिछ गए
राह में फ़ासले
ख़्वाब मंज़िल थे
और मंज़िलें ख़्वाब थीं
रास्तों से निकलते रहे रास्ते
जाने किस वास्ते
आरज़ू के मुसाफ़िर भटकते रहे
जिन पे सब चलते हैं
ऐसे सब रास्ते छोड़ के
एक अंजान पगडंडी की उँगली थामे हुए
इक सितारे से
उम्मीद बाँधे हुए सम्त की
हर गुमाँ को यक़ीं मान के
अपने दिल से
कोई धोका खाते हुए जान के
सहरा सहरा
समुंदर को वो ढूँडते
कुछ सराबों की जानिब
रहे गामज़न
यूँ नहीं था
कि उन को ख़बर ही न थी
ये समुंदर नहीं
लेकिन उन को कहीं
शायद एहसास था
ये फ़रेब
उन को महव-ए-सफ़र रक्खेगा
ये सबब था
कि था और कोई सबब
जो लिए उन को फिरता रहा
मंज़िलों मंज़िलों
रास्ते रास्ते
जाने किस वास्ते
आरज़ू के मुसाफ़िर भटकते रहे
अक्सर ऐसा हुआ
शहर-दर-शहर
और बस्ती बस्ती
किसी भी दरीचे में
कोई चराग़-ए-मोहब्बत न था
बे-रुख़ी से भरी
सारी गलियों में
सारे मकानों के
दरवाज़े यूँ बंद थे
जैसे इक सर्द
ख़ामोश लहजे में
वो कह रहे हों
मुरव्वत का और मेहरबानी का मस्कन
कहीं और होगा
यहाँ तो नहीं है
यही एक मंज़र समेटे थे
शहरों के पथरीले सब रास्ते
जाने किस वास्ते
आरज़ू के मुसाफ़िर भटकते रहे
और कभी यूँ हुआ
आरज़ू के मुसाफ़िर थे
जलती सुलगती हुई धूप में
कुछ दरख़्तों ने साए बिछाए मगर
उन को ऐसा लगा
साए में जो सुकून
और आराम है
मंज़िलों तक पहुँचने न देगा उन्हें
और यूँ भी हुआ
महकी कलियों ने ख़ुशबू के पैग़ाम भेजे उन्हें
उन को ऐसा लगा
चंद कलियों पे कैसे क़नाअत करें
उन को तो ढूँढना है
वो गुलशन कि जिस को
किसी ने अभी तक है देखा नहीं
जाने क्यूँ था उन्हें इस का पूरा यक़ीं
देर हो या सवेर उन को लेकिन कहीं
ऐसे गुलशन के मिल जाएँगे रास्ते
जाने किस वास्ते
आरज़ू के मुसाफ़िर भटकते रहे
धूप ढलने लगी
बस ज़रा देर में रात हो जाएगी
आरज़ू के मुसाफ़िर जो हैं
उन के क़दमों तले
जो भी इक राह है
वो भी शायद अँधेरे में खो जाएगी
आरज़ू के मुसाफ़िर भी
अपने थके-हारे बे-जान पैरों पे
कुछ देर तक लड़खड़ाएँगे
और गिर के सो जाएँगे
सिर्फ़ सन्नाटा सोचेगा ये रात भर
मंज़िलें तो उन्हें जाने कितनी मिलीं
ये मगर
मंज़िलों को समझते रहे जाने क्यूँ रास्ते
जाने किस वास्ते
आरज़ू के मुसाफ़िर भटकते रहे
और फिर इक सवेरे की उजली किरन
तीरगी चीर के
जगमगा देगी
जब अन-गिनत रहगुज़ारों पे बिखरे हुए
उन के नक़्श-ए-क़दम
आफ़ियत-गाहों में रहने वाले
ये हैरत से मजबूर हो के कहेंगे
ये नक़्श-ए-क़दम सिर्फ़ नक़्श-ए-क़दम ही नहीं
ये तो दरयाफ़्त हैं
ये तो ईजाद हैं
ये तो अफ़्कार हैं
ये तो अशआर हैं
ये कोई रक़्स हैं
ये कोई राग हैं
इन से ही तो हैं आरास्ता
सारी तहज़ीब ओ तारीख़ के
वक़्त के
ज़िंदगी के सभी रास्ते
वो मुसाफ़िर मगर
जानते-बूझते भी रहे बे-ख़बर
जिस को छू लें क़दम
वो तो बस राह थी
उन की मंज़िल दिगर थी
अलग चाह थी
जो नहीं मिल सके उस की थी आरज़ू
जो नहीं है कहीं उस की थी जुस्तुजू
शायद इस वास्ते
आरज़ू के मुसाफ़िर भटकते रहे

- Javed Akhtar
2 Likes

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari