gham-e-jahaan se main ukta gaya to kya hoga | ग़म-ए-जहाँ से मैं उकता गया तो क्या होगा

  - Jawwad Sheikh

gham-e-jahaan se main ukta gaya to kya hoga
khud apni fikr mein ghulne laga to kya hoga

ye na-guzeer hai ummeed ki numoo ke liye
guzarta waqt kahi tham gaya to kya hoga

yahi bahut hai ki ham ko sukoon se jeene de
kisi ke haathon hamaara bhala to kya hoga

ye log meri khamoshi pe mujh se naalaan hain
koi ye pooche main goya hua to kya hoga

main is liye bhi bahut mukhtalif hoon logon se
vo sochte hain ki aisa hua to kya hoga

junoon ki raah ajab hai ki paanv dharne ko
zameen tak bhi nahin naqsh-e-paa to kya hoga

ye ek khauf bhi meri khushi mein shaamil hai
tira bhi dhyaan agar hat gaya to kya hoga

jo ho raha hai vo hota chala gaya to phir
jo hone ko hai wahi ho gaya to kya hoga

ग़म-ए-जहाँ से मैं उकता गया तो क्या होगा
ख़ुद अपनी फ़िक्र में घुलने लगा तो क्या होगा

ये ना-गुज़ीर है उम्मीद की नुमू के लिए
गुज़रता वक़्त कहीं थम गया तो क्या होगा

यही बहुत है कि हम को सुकूँ से जीने दे
किसी के हाथों हमारा भला तो क्या होगा

ये लोग मेरी ख़मोशी पे मुझ से नालाँ हैं
कोई ये पूछे मैं गोया हुआ तो क्या होगा

मैं इस लिए भी बहुत मुख़्तलिफ़ हूँ लोगों से
वो सोचते हैं कि ऐसा हुआ तो क्या होगा

जुनूँ की राह अजब है कि पाँव धरने को
ज़मीन तक भी नहीं नक़्श-ए-पा तो क्या होगा

ये एक ख़ौफ़ भी मेरी ख़ुशी में शामिल है
तिरा भी ध्यान अगर हट गया तो क्या होगा

जो हो रहा है वो होता चला गया तो फिर?
जो होने को है वही हो गया तो क्या होगा

  - Jawwad Sheikh

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari