to kya ik hamaare liye hi mohabbat naya tajurba hai
jise poochiye vo kahega ki jee haan bada tajurba hai
samajh mein na aaye to meri khamoshi ko dil par na lena
ki ye aql waalon kii daanisht se maavra tajurba hai
kathin to bahut hai magar dil ke rishton ko azaad chhodo
tavakko na baandho ki ye ik aziyyat bhara tajurba hai
magar ham musir the ki ham ne kitaaben bahut padh rakhi hain
badon ne kaha bhi ki dekho miyaan tajurba tajurba hai
vo apni jagah khush-gumaan thi ki rizwan hai pehli mohabbat
main apne tai mutmain tha ki ye doosra tajurba hai
kisi aur ke tajarbe se koii faaeda kya uthaaye
mohabbat mein har tajurba hi alag tarah ka tajurba hai
तो क्या इक हमारे लिए ही मोहब्बत नया तजरबा है
जिसे पूछिए वो कहेगा कि जी हाँ बड़ा तजरबा है
समझ में न आए तो मेरी ख़मोशी को दिल पर न लेना
कि ये अक़्ल वालों की दानिस्त से मावरा तजरबा है
कठिन तो बहुत है मगर दिल के रिश्तों को आज़ाद छोड़ो
तवक़्क़ो' न बाँधो कि ये इक अज़िय्यत भरा तजरबा है
मगर हम मुसिर थे कि हम ने किताबें बहुत पढ़ रखी हैं
बड़ों ने कहा भी कि देखो मियाँ तजरबा तजरबा है
वो अपनी जगह ख़ुश-गुमाँ थी कि दाइम है पहली मोहब्बत
मैं अपने तईं मुतमइन था कि ये दूसरा तजरबा है
किसी और के तजरबे से कोई फ़ाएदा क्या उठाएँ
मोहब्बत में हर तजरबा ही अलग तरह का तजरबा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh
our suggestion based on Jawwad Sheikh
As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari