maine chaaha to nahin tha ki kabhi aisa ho
lekin ab thaan chuke ho to chalo achha ho
tum se naaraz to main aur kisi baat pe hoon
tum magar aur kisi wajah se sharminda ho
ab kahi ja ke ye maaloom hua hai mujhko
theek rah jaata hai jo shakhs tere jaisa ho
aise haalaat mein ho bhi koi hassaas to kya
aur be-his bhi agar ho to koi kitna ho
taaki tu samjhe ki mardon ke bhi dukh hote hain
maine chaaha bhi yahi tha ki tera beta ho
मैंने चाहा तो नहीं था कि कभी ऐसा हो
लेकिन अब ठान चुके हो तो चलो अच्छा हो
तुम से नाराज़ तो मैं और किसी बात पे हूँ
तुम मगर और किसी वजह से शर्मिंदा हो
अब कहीं जा के ये मालूम हुआ है मुझको
ठीक रह जाता है जो शख़्स तेरे जैसा हो
ऐसे हालात में हो भी कोई हस्सास तो क्या
और बे-हिस भी अगर हो तो कोई कितना हो
ताकि तू समझे कि मर्दों के भी दुख होते हैं
मैंने चाहा भी यही था कि तेरा बेटा हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh
our suggestion based on Jawwad Sheikh
As you were reading Gham Shayari Shayari