allah agar taufeeq na de insaan ke bas ka kaam nahin | अल्लाह अगर तौफ़ीक़ न दे इंसान के बस का काम नहीं - Jigar Moradabadi

allah agar taufeeq na de insaan ke bas ka kaam nahin
faizaan-e-mohabbat aam sahi irfaan-e-mohabbat aam nahin

ye tu ne kaha kya ai naadaan fayyaazi-e-qudrat aam nahin
tu fikr o nazar to paida kar kya cheez hai jo inaam nahin

ya-rab ye maqaam-e-ishq hai kya go deeda-o-dil naakaam nahin
taskin hai aur taskin nahin aaraam hai aur aaraam nahin

kyun mast-e-sharaab-e-aish-o-tarab takleef-e-tavajjoh farmaayein
aawaaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaaz-e-shikast-e-jaam nahin

aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindaar-e-khudi ko tod ke aa
ai hosh-o-khird ke deewane yaa hosh-o-khird ka kaam nahin

zaahid ne kuch is andaaz se pee saaqi ki nigaahen padne lagin
may-kash yahi ab tak samjhe the shaista daur-e-jaam nahin

ishq aur gawara khud kar le be-shart shikast-e-faash apni
dil ki bhi kuch un ke saazish hai tanhaa ye nazar ka kaam nahin

sab jis ko aseeri kahte hain vo to hai ameeri hi lekin
vo kaun si aazaadi hai yahan jo aap khud apna daam nahin

अल्लाह अगर तौफ़ीक़ न दे इंसान के बस का काम नहीं
फ़ैज़ान-ए-मोहब्बत आम सही इरफ़ान-ए-मोहब्बत आम नहीं

ये तू ने कहा क्या ऐ नादाँ फ़य्याज़ी-ए-क़ुदरत आम नहीं
तू फ़िक्र ओ नज़र तो पैदा कर क्या चीज़ है जो इनआम नहीं

या-रब ये मक़ाम-ए-इश्क़ है क्या गो दीदा-ओ-दिल नाकाम नहीं
तस्कीन है और तस्कीन नहीं आराम है और आराम नहीं

क्यूँ मस्त-ए-शराब-ए-ऐश-ओ-तरब तकलीफ़-ए-तवज्जोह फ़रमाएँ
आवाज़-ए-शिकस्त-ए-दिल ही तो है आवाज़-ए-शिकस्त-ए-जाम नहीं

आना है जो बज़्म-ए-जानाँ में पिंदार-ए-ख़ुदी को तोड़ के आ
ऐ होश-ओ-ख़िरद के दीवाने याँ होश-ओ-ख़िरद का काम नहीं

ज़ाहिद ने कुछ इस अंदाज़ से पी साक़ी की निगाहें पड़ने लगीं
मय-कश यही अब तक समझे थे शाइस्ता दौर-ए-जाम नहीं

इश्क़ और गवारा ख़ुद कर ले बे-शर्त शिकस्त-ए-फ़ाश अपनी
दिल की भी कुछ उन के साज़िश है तन्हा ये नज़र का काम नहीं

सब जिस को असीरी कहते हैं वो तो है अमीरी ही लेकिन
वो कौन सी आज़ादी है यहाँ जो आप ख़ुद अपना दाम नहीं

- Jigar Moradabadi
3 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari