ham ko mita sake ye zamaane mein dam nahin | हम को मिटा सके ये ज़माने में दम नहीं

  - Jigar Moradabadi

ham ko mita sake ye zamaane mein dam nahin
ham se zamaana khud hai zamaane se ham nahin

be-faaida alam nahin be-kaar gham nahin
taufeeq de khuda to ye nemat bhi kam nahin

meri zabaan pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin
mujh ko jaga diya yahi ehsaan kam nahin

ya rab hujoom-e-dard ko de aur wusa'aten
daaman to kya abhi meri aankhen bhi nam nahin

shikwa to ek chhed hai lekin haqeeqatan
tera sitam bhi teri inaayat se kam nahin

ab ishq us maqaam pe hai justujoo-navard
saaya nahin jahaan koi naqsh-e-qadam nahin

milta hai kyun maza sitam-e-rozgaar mein
tera karam bhi khud jo shareek-e-sitam nahin

marg-e-'jigar pe kyun tiri aankhen hain ashk-rez
ik saanehaa sahi magar itna ahem nahin

हम को मिटा सके ये ज़माने में दम नहीं
हम से ज़माना ख़ुद है ज़माने से हम नहीं

बे-फ़ाएदा अलम नहीं बे-कार ग़म नहीं
तौफ़ीक़ दे ख़ुदा तो ये नेमत भी कम नहीं

मेरी ज़बाँ पे शिकवा-ए-अहल-ए-सितम नहीं
मुझ को जगा दिया यही एहसान कम नहीं

या रब हुजूम-ए-दर्द को दे और वुसअ'तें
दामन तो क्या अभी मिरी आँखें भी नम नहीं

शिकवा तो एक छेड़ है लेकिन हक़ीक़तन
तेरा सितम भी तेरी इनायत से कम नहीं

अब इश्क़ उस मक़ाम पे है जुस्तुजू-नवर्द
साया नहीं जहाँ कोई नक़्श-ए-क़दम नहीं

मिलता है क्यूँ मज़ा सितम-ए-रोज़गार में
तेरा करम भी ख़ुद जो शरीक-ए-सितम नहीं

मर्ग-ए-'जिगर' पे क्यूँ तिरी आँखें हैं अश्क-रेज़
इक सानेहा सही मगर इतना अहम नहीं

  - Jigar Moradabadi

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari