ishq ko be-naqaab hona tha | इश्क़ को बे-नक़ाब होना था - Jigar Moradabadi

ishq ko be-naqaab hona tha
aap apna jawaab hona tha

mast-e-jaam-e-sharaab hona tha
be-khud-e-iztiraab hona tha

teri aankhon ka kuch qusoor nahin
haan mujhi ko kharab hona tha

aao mil jaao muskuraa ke gale
ho chuka jo itaab hona tha

koocha-e-ishq mein nikal aaya
jis ko khaana-kharaab hona tha

mast-e-jaam-e-sharaab khaak hote
ghark-e-jaam-e-sharaab hona tha

dil ki jis par hain naqsh-e-ranga-rang
us ko saada kitaab hona tha

hum ne naakaamiyon ko dhundh liya
aakhirsh kaamyaab hona tha

haaye vo lamha-e-sukoon ki jise
mahshar-e-iztiraab hona tha

nigah-e-yaar khud tadap uthati
shart-e-avval kharab hona tha

kyun na hota sitam bhi be-paayaan
karam-e-be-hisaab hona tha

kyun nazar hairaton mein doob gai
mauj-e-sad-iztiraab hona tha

ho chuka roz-e-awwaleen hi jigar
jis ko jitna kharab hona tha

इश्क़ को बे-नक़ाब होना था
आप अपना जवाब होना था

मस्त-ए-जाम-ए-शराब होना था
बे-ख़ुद-ए-इज़्तिराब होना था

तेरी आँखों का कुछ क़ुसूर नहीं
हाँ मुझी को ख़राब होना था

आओ मिल जाओ मुस्कुरा के गले
हो चुका जो इताब होना था

कूचा-ए-इश्क़ में निकल आया
जिस को ख़ाना-ख़राब होना था

मस्त-ए-जाम-ए-शराब ख़ाक होते
ग़र्क़-ए-जाम-ए-शराब होना था

दिल कि जिस पर हैं नक़्श-ए-रंगा-रंग
उस को सादा किताब होना था

हम ने नाकामियों को ढूँड लिया
आख़िरश कामयाब होना था

हाए वो लम्हा-ए-सुकूँ कि जिसे
महशर-ए-इज़्तिराब होना था

निगह-ए-यार ख़ुद तड़प उठती
शर्त-ए-अव्वल ख़राब होना था

क्यूँ न होता सितम भी बे-पायाँ
करम-ए-बे-हिसाब होना था

क्यूँ नज़र हैरतों में डूब गई
मौज-ए-सद-इज़्तिराब होना था

हो चुका रोज़-ए-अव्वलीं ही 'जिगर'
जिस को जितना ख़राब होना था

- Jigar Moradabadi
0 Likes

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari