bangaal ki main shaam-o-sehar dekh raha hoon | बंगाल की मैं शाम-ओ-सहर देख रहा हूँ

  - Jigar Moradabadi

bangaal ki main shaam-o-sehar dekh raha hoon
har chand ki hoon door magar dekh raha hoon

iflaas ki maari hui makhluq sar-e-raah
be-gor-o-kafan khaak-b-sar dekh raha hoon

bacchon ka tadapna vo bilkana vo sisakna
maa-baap ki mayus nazar dekh raha hoon

insaan ke hote hue insaan ka ye hashr
dekha nahin jaata hai magar dekh raha hoon

rahmat ka chamakne ko hai phir nayyar-e-taabaa
hone ko hai is shab ki sehar dekh raha hoon

khaamosh nigaahon mein umandte hue jazbaat
jazbaat mein toofan-e-sharar dekh raha hoon

bedaari-e-ehsaas hai har samt numayaan
be-taabi-e-arbaab-e-nazar dekh raha hoon

anjaam-e-sitam ab koi dekhe ki na dekhe
main saaf un aankhon se magar dekh raha hoon

sayyaad ne lootaa tha anaadil ka nasheeman
sayyaad ka jalte hue ghar dekh raha hoon

ik teg ki jumbish si nazar aati hai mujh ko
ik haath pas-e-parda-e-dar dekh raha hoon

बंगाल की मैं शाम-ओ-सहर देख रहा हूँ
हर चंद कि हूँ दूर मगर देख रहा हूँ

इफ़्लास की मारी हुई मख़्लूक़ सर-ए-राह
बे-गोर-ओ-कफ़न ख़ाक-ब-सर देख रहा हूँ

बच्चों का तड़पना वो बिलकना वो सिसकना
माँ-बाप की मायूस नज़र देख रहा हूँ

इंसान के होते हुए इंसान का ये हश्र
देखा नहीं जाता है मगर देख रहा हूँ

रहमत का चमकने को है फिर नय्यर-ए-ताबाँ
होने को है इस शब की सहर देख रहा हूँ

ख़ामोश निगाहों में उमँडते हुए जज़्बात
जज़्बात में तूफ़ान-ए-शरर देख रहा हूँ

बेदारी-ए-एहसास है हर सम्त नुमायाँ
बे-ताबी-ए-अर्बाब-ए-नज़र देख रहा हूँ

अंजाम-ए-सितम अब कोई देखे कि न देखे
मैं साफ़ उन आँखों से मगर देख रहा हूँ

सय्याद ने लूटा था अनादिल का नशेमन
सय्याद का जलते हुए घर देख रहा हूँ

इक तेग़ की जुम्बिश सी नज़र आती है मुझ को
इक हाथ पस-ए-पर्दा-ए-दर देख रहा हूँ

  - Jigar Moradabadi

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari