aisa bhi kya mamnoon bas
karke gaya hai khoon bas
ik laash mein zinda hoon main
kar do koi madfoon bas
nazmein sunaati vo rahi
ghazalon ka main maftoon bas
tum mere ho ab mere ho
uski ye baatein doon bas
ye kya kaha shaair hoon main
shaair kahon majnoon bas
baarah maheene ik taraf
aur uska maah-e-june bas
ऐसा भी क्या मम्नून बस
करके गया है ख़ून बस
इक लाश में ज़िंदा हूँ मैं
कर दो कोई मदफ़ून बस
नज़्में सुनाती वो रही
ग़ज़लों का मैं मफ़्तून बस
तुम मेरे हो अब मेरे हो
उसकी ये बातें दून बस
ये क्या कहा शाइर हूँ मैं
शाइर कहॉं मजनून बस
बारह महीने इक तरफ़
और उसका माह-ए-जून बस
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by June Sahab
our suggestion based on June Sahab
As you were reading Murder Shayari Shayari