daagh duniya ne diye zakham zamaane se mile | दाग़ दुनिया ने दिए ज़ख़्म ज़माने से मिले

  - Kaif Bhopali

daagh duniya ne diye zakham zamaane se mile
ham ko tohfe ye tumhein dost banaane se mile

ham tarsate hi tarsate hi tarsate hi rahe
vo falaane se falaane se falaane se mile

khud se mil jaate to chaahat ka bharam rah jaata
kya mile aap jo logon ke milaane se mile

maa ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj
ham ko duniya mein ye do waqt suhaane se mile

kabhi likhwaane gaye khat kabhi padhwaane gaye
ham haseenon se isee heele bahaane se mile

ik naya zakham mila ek nayi umr mili
jab kisi shehar mein kuchh yaar purane se mile

ek ham hi nahin firte hain liye qissa-e-gham
un ke khaamosh labon par bhi fasaane se mile

kaise maane ki unhen bhool gaya tu ai kaif
un ke khat aaj hamein tere sirhaane se mile

दाग़ दुनिया ने दिए ज़ख़्म ज़माने से मिले
हम को तोहफ़े ये तुम्हें दोस्त बनाने से मिले

हम तरसते ही तरसते ही तरसते ही रहे
वो फ़लाने से फ़लाने से फ़लाने से मिले

ख़ुद से मिल जाते तो चाहत का भरम रह जाता
क्या मिले आप जो लोगों के मिलाने से मिले

माँ की आग़ोश में कल मौत की आग़ोश में आज
हम को दुनिया में ये दो वक़्त सुहाने से मिले

कभी लिखवाने गए ख़त कभी पढ़वाने गए
हम हसीनों से इसी हीले बहाने से मिले

इक नया ज़ख़्म मिला एक नई उम्र मिली
जब किसी शहर में कुछ यार पुराने से मिले

एक हम ही नहीं फिरते हैं लिए क़िस्सा-ए-ग़म
उन के ख़ामोश लबों पर भी फ़साने से मिले

कैसे मानें कि उन्हें भूल गया तू ऐ 'कैफ़'
उन के ख़त आज हमें तेरे सिरहाने से मिले

  - Kaif Bhopali

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari