salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaaye | सलाम उस पर अगर ऐसा कोई फ़नकार हो जाए - Kaif Bhopali

salaam us par agar aisa koi fankaar ho jaaye
siyaahi khoon ban jaaye qalam talwaar ho jaaye

zamaane se kaho kuch saiqaa-raftaar ho jaaye
hamaare saath chalne ke liye taiyyaar ho jaaye

zamaane ko tamannaa hai tira deedaar karne ki
mujhe ye fikr hai mujh ko mera deedaar ho jaaye

vo zulfen saanp hain be-shak agar zanjeer ban jaayen
mohabbat zahar hai be-shak agar aazaar ho jaaye

mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain wagarana hum
nigaahen daal den jis par wahi sarkaar ho jaaye

सलाम उस पर अगर ऐसा कोई फ़नकार हो जाए
सियाही ख़ून बन जाए क़लम तलवार हो जाए

ज़माने से कहो कुछ साइक़ा-रफ़्तार हो जाए
हमारे साथ चलने के लिए तय्यार हो जाए

ज़माने को तमन्ना है तिरा दीदार करने की
मुझे ये फ़िक्र है मुझ को मिरा दीदार हो जाए

वो ज़ुल्फ़ें साँप हैं बे-शक अगर ज़ंजीर बन जाएँ
मोहब्बत ज़हर है बे-शक अगर आज़ार हो जाए

मोहब्बत से तुम्हें सरकार कहते हैं वगरना हम
निगाहें डाल दें जिस पर वही सरकार हो जाए

- Kaif Bhopali
1 Like

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari