tan-e-tanha muqaabil ho raha hoon main hazaaron se | तन-ए-तन्हा मुक़ाबिल हो रहा हूँ मैं हज़ारों से

  - Kaif Bhopali

tan-e-tanha muqaabil ho raha hoon main hazaaron se
haseenon se raqeebon se ghamon se gham-gusaaron se

unhen main cheen kar laaya hoon kitne daavedaaron se
shafaq se chaandni raaton se phoolon se sitaaron se

sune koi to ab bhi raushni awaaz deti hai
pahaadon se gufaaon se biyaabaanon se ghaaron se

hamaare daag-e-dil zakham-e-jigar kuchh milte-julte hain
gulon se gul-rukho'n se mah-vasho_n se maah-paaron se

kabhi hota nahin mehsoos vo yun qatl karte hain
nigaahon se kankhiyon se adaaon se ishaaron se

hamesha ek pyaasi rooh ki awaaz aati hai
kuon se panghaton se naddiyon se aabshaaron se

na aaye par na aaye vo unhen kya kya khabar bheji
lifaafon se khatoon se dukh bhare parchon se taaron se

zamaane mein kabhi bhi qismaten badla nahin karti
umeedon se bharoson se dilaason se sahaaron se

vo din bhi haaye kya din the jab apna bhi ta'alluq tha
dashahre se diwali se basanton se bahaaron se

kabhi patthar ke dil ai kaif pighle hain na pighlenge
munaajaaton se fariyadon se cheekh'on se pukaaron se

तन-ए-तन्हा मुक़ाबिल हो रहा हूँ मैं हज़ारों से
हसीनों से रक़ीबों से ग़मों से ग़म-गुसारों से

उन्हें मैं छीन कर लाया हूँ कितने दावेदारों से
शफ़क़ से चाँदनी रातों से फूलों से सितारों से

सुने कोई तो अब भी रौशनी आवाज़ देती है
पहाड़ों से गुफाओं से बयाबानों से ग़ारों से

हमारे दाग़-ए-दिल ज़ख़्म-ए-जिगर कुछ मिलते-जुलते हैं
गुलों से गुल-रुख़ों से मह-वशों से माह-पारों से

कभी होता नहीं महसूस वो यूँ क़त्ल करते हैं
निगाहों से कनखियों से अदाओं से इशारों से

हमेशा एक प्यासी रूह की आवाज़ आती है
कुओं से पनघटों से नद्दियों से आबशारों से

न आए पर न आए वो उन्हें क्या क्या ख़बर भेजी
लिफ़ाफ़ों से ख़तों से दुख भरे पर्चों से तारों से

ज़माने में कभी भी क़िस्मतें बदला नहीं करतीं
उमीदों से भरोसों से दिलासों से सहारों से

वो दिन भी हाए क्या दिन थे जब अपना भी तअ'ल्लुक़ था
दशहरे से दिवाली से बसंतों से बहारों से

कभी पत्थर के दिल ऐ 'कैफ़' पिघले हैं न पिघलेंगे
मुनाजातों से फ़रियादों से चीख़ों से पुकारों से

  - Kaif Bhopali

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Bhopali

As you were reading Shayari by Kaif Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Bhopali

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari