kahi se laut ke hum ladhkadaaye hain kya kya | कहीं से लौट के हम लड़खड़ाए हैं क्या क्या - Kaifi Azmi

kahi se laut ke hum ladhkadaaye hain kya kya
sitaare zer-e-qadam raat aaye hain kya kya

nasheb-e-hasti se afsos hum ubhar na sake
faraaz-e-daar se paighaam aaye hain kya kya

jab us ne haar ke khanjar zameen pe fenk diya
tamaam zakham-e-jigar muskuraaye hain kya kya

chhata jahaan se us awaaz ka ghana baadal
wahin se dhoop ne talve jalaae hain kya kya

utha ke sar mujhe itna to dekh lene de
ki qatl-gaah mein deewane aaye hain kya kya

kahi andhere se maanoos ho na jaaye adab
charaagh tez hawa ne bujaaye hain kya kya

कहीं से लौट के हम लड़खड़ाए हैं क्या क्या
सितारे ज़ेर-ए-क़दम रात आए हैं क्या क्या

नशेब-ए-हस्ती से अफ़्सोस हम उभर न सके
फ़राज़-ए-दार से पैग़ाम आए हैं क्या क्या

जब उस ने हार के ख़ंजर ज़मीं पे फेंक दिया
तमाम ज़ख़्म-ए-जिगर मुस्कुराए हैं क्या क्या

छटा जहाँ से उस आवाज़ का घना बादल
वहीं से धूप ने तलवे जलाए हैं क्या क्या

उठा के सर मुझे इतना तो देख लेने दे
कि क़त्ल-गाह में दीवाने आए हैं क्या क्या

कहीं अँधेरे से मानूस हो न जाए अदब
चराग़ तेज़ हवा ने बुझाए हैं क्या क्या

- Kaifi Azmi
0 Likes

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari