kya jaane kis ki pyaas bujhaane kidhar gaeein
is sar pe jhoom ke jo ghataaein guzar gaeein
deewaana poochta hai ye lehron se baar baar
kuchh bastiyaan yahan theen batao kidhar gaeein
ab jis taraf se chahe guzar jaaye kaarwaan
veeraaniyaan to sab mere dil mein utar gaeein
paimaana tootne ka koi gham nahin mujhe
gham hai to ye ki chaandni raatein bikhar gaeein
paaya bhi un ko kho bhi diya chup bhi ho rahe
ik mukhtasar si raat mein sadiyaan guzar gaeein
क्या जाने किस की प्यास बुझाने किधर गईं
इस सर पे झूम के जो घटाएँ गुज़र गईं
दीवाना पूछता है ये लहरों से बार बार
कुछ बस्तियाँ यहाँ थीं बताओ किधर गईं
अब जिस तरफ़ से चाहे गुज़र जाए कारवाँ
वीरानियाँ तो सब मिरे दिल में उतर गईं
पैमाना टूटने का कोई ग़म नहीं मुझे
ग़म है तो ये कि चाँदनी रातें बिखर गईं
पाया भी उन को खो भी दिया चुप भी हो रहे
इक मुख़्तसर सी रात में सदियाँ गुज़र गईं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Good night Shayari Shayari