raam ban-baas se jab laut ke ghar mein aaye
yaad jungle bahut aaya jo nagar mein aaye
raqs-e-deewaangi aangan mein jo dekha hoga
chhe december ko shri raam ne socha hoga
itne deewane kahaan se mere ghar mein aaye
jagmagate the jahaan raam ke qadmon ke nishaan
pyaar ki kaahkashaan leti thi angadaai jahaan
mod nafrat ke usi raahguzar mein aaye
dharm kya un ka tha kya zaat thi ye jaanta kaun
ghar na jalta to unhen raat mein pahchaanta kaun
ghar jalane ko mera log jo ghar mein aaye
shaakaahaari the mere dost tumhaare khanjar
tum ne babar ki taraf fenke the saare patthar
hai mere sar ki khata zakham jo sar mein aaye
paanv sarjoo mein abhi raam ne dhoye bhi na the
ki nazar aaye wahan khoon ke gehre dhabbe
paanv dhoye bina sarjoo ke kinaare se uthe
raam ye kahte hue apne dwaare se uthe
raajdhaani ki fazaa aayi nahin raas mujhe
chhe december ko mila doosra ban-baas mujhe
राम बन-बास से जब लौट के घर में आए
याद जंगल बहुत आया जो नगर में आए
रक़्स-ए-दीवानगी आँगन में जो देखा होगा
छे दिसम्बर को श्री राम ने सोचा होगा
इतने दीवाने कहाँ से मिरे घर में आए
जगमगाते थे जहाँ राम के क़दमों के निशाँ
प्यार की काहकशाँ लेती थी अंगड़ाई जहाँ
मोड़ नफ़रत के उसी राहगुज़र में आए
धर्म क्या उन का था, क्या ज़ात थी, ये जानता कौन
घर न जलता तो उन्हें रात में पहचानता कौन
घर जलाने को मिरा लोग जो घर में आए
शाकाहारी थे मेरे दोस्त तुम्हारे ख़ंजर
तुम ने बाबर की तरफ़ फेंके थे सारे पत्थर
है मिरे सर की ख़ता, ज़ख़्म जो सर में आए
पाँव सरजू में अभी राम ने धोए भी न थे
कि नज़र आए वहाँ ख़ून के गहरे धब्बे
पाँव धोए बिना सरजू के किनारे से उठे
राम ये कहते हुए अपने द्वारे से उठे
राजधानी की फ़ज़ा आई नहीं रास मुझे
छे दिसम्बर को मिला दूसरा बन-बास मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Raat Shayari Shayari