patthar ke khuda wahan bhi paaye | पत्थर के ख़ुदा वहाँ भी पाए - Kaifi Azmi

patthar ke khuda wahan bhi paaye
hum chaand se aaj laut aaye

deewarein to har taraf khadi hain
kya ho gaye mehrbaan saaye

jungle ki hawaaein aa rahi hain
kaaghaz ka ye shehar ud na jaaye

leila ne naya janam liya hai
hai qais koi jo dil lagaaye

hai aaj zameen ka ghusl-e-sehhat
jis dil mein ho jitna khoon laaye

sehra sehra lahu ke kheme
phir pyaase lab-e-furaat aaye

पत्थर के ख़ुदा वहाँ भी पाए
हम चाँद से आज लौट आए

दीवारें तो हर तरफ़ खड़ी हैं
क्या हो गए मेहरबान साए

जंगल की हवाएँ आ रही हैं
काग़ज़ का ये शहर उड़ न जाए

लैला ने नया जनम लिया है
है क़ैस कोई जो दिल लगाए

है आज ज़मीं का ग़ुस्ल-ए-सेह्हत
जिस दिल में हो जितना ख़ून लाए

सहरा सहरा लहू के खे़मे
फिर प्यासे लब-ए-फ़ुरात आए

- Kaifi Azmi
0 Likes

Khoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Khoon Shayari Shayari