nuqoosh-e-hasrat mita ke uthna khushi ka parcham uda ke uthna | नुक़ूश-ए-हसरत मिटा के उठना, ख़ुशी का परचम उड़ा के उठना

  - Kaifi Azmi

nuqoosh-e-hasrat mita ke uthna khushi ka parcham uda ke uthna
mila ke sar baithna mubarak tarana-e-fath ga ke uthna

ye guftugoo guftugoo nahin hai bigarne banne ka marhala hai
dhadak raha hai fazaa ka seena ki zindagi ka muaamla hai
khizaan rahe ya bahaar aaye tumhaare haathon mein faisla hai
na chain be-taab bijliyon ko na mutmain kaarwaan-e-shabnam
kabhi shagoofoon ke garm tevar kabhi gulon ka mizaaj barham
shagoofa o gul ke is tasaadum mein gulsitaan ban gaya jahannam

saja len sab apni apni jannat ab aise khaake bana ke uthna

khazana-e-rang-o-noor tareek rahguzaron mein loot raha hai
uroos-e-gul ka ghuroor-e-ismat siyahkaaron mein loot raha hai
tamaam sarmaaya-e-latafat zaleel khaaron mein loot raha hai
ghuti ghuti hain numoo ki saansen chhuti chhuti nabz-e-gulistaan hai
hain gursana phool tishna gunche rukhon pe zardee labon pe jaan hai
aseer hain ham-safeer jab se khizaan chaman mein ravaan-davaan hai

is intishaar-e-chaman ki saugand baab-e-zindaa hila ke uthna

hayaat-e-geeti ki aaj badli hui nigaahen hain inqilaabi
ufuq se kirnen utar rahi hain bikherthi noor-e-kaamyaabi
nayi sehar chahti hai khwaabon ki bazm mein izn-e-baaryaabi
ye teergi ka hujoom kab tak ye yaas ka azdahaam kab tak
nifaq o ghaflat ki aad le kar jiyega murda nizaam kab tak
rahenge hindi aseer kab tak rahega bharat ghulaam kab tak

gale ka tauq aa rahe qadam par kuchh is tarah tilimila ke uthna

नुक़ूश-ए-हसरत मिटा के उठना, ख़ुशी का परचम उड़ा के उठना
मिला के सर बैठना मुबारक तराना-ए-फ़त्ह गा के उठना

ये गुफ़्तुगू गुफ़्तुगू नहीं है बिगड़ने बनने का मरहला है
धड़क रहा है फ़ज़ा का सीना कि ज़िंदगी का मुआमला है
ख़िज़ाँ रहे या बहार आए तुम्हारे हाथों में फ़ैसला है
न चैन बे-ताब बिजलियों को न मुतमइन कारवान-ए-शबनम
कभी शगूफ़ों के गर्म तेवर कभी गुलों का मिज़ाज बरहम
शगूफ़ा ओ गुल के इस तसादुम में गुल्सिताँ बन गया जहन्नम

सजा लें सब अपनी अपनी जन्नत अब ऐसे ख़ाके बना के उठना

ख़ज़ाना-ए-रंग-ओ-नूर तारीक रहगुज़ारों में लुट रहा है
उरूस-ए-गुल का ग़ुरूर-ए-इस्मत सियाहकारों में लुट रहा है
तमाम सरमाया-ए-लताफ़त ज़लील ख़ारों में लुट रहा है
घुटी घुटी हैं नुमू की साँसें छुटी छुटी नब्ज़-ए-गुलिस्ताँ है
हैं गुरसना फूल, तिश्ना ग़ुंचे, रुख़ों पे ज़र्दी लबों पे जाँ है
असीर हैं हम-सफ़ीर जब से ख़िज़ाँ चमन में रवाँ-दवाँ है

इस इंतिशार-ए-चमन की सौगंद बाब-ए-ज़िंदाँ हिला के उठना

हयात-ए-गीती की आज बदली हुई निगाहें हैं इंक़िलाबी
उफ़ुक़ से किरनें उतर रही हैं बिखेरती नूर-ए-कामयाबी
नई सहर चाहती है ख़्वाबों की बज़्म में इज़्न-ए-बारयाबी
ये तीरगी का हुजूम कब तक ये यास का अज़दहाम कब तक
निफ़ाक़ ओ ग़फ़लत की आड़ ले कर जियेगा मुर्दा निज़ाम कब तक
रहेंगे हिन्दी असीर कब तक रहेगा भारत ग़ुलाम कब तक

गले का तौक़ आ रहे क़दम पर कुछ इस तरह तिलमिला के उठना

  - Kaifi Azmi

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaifi Azmi

As you were reading Shayari by Kaifi Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Kaifi Azmi

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari