ye sehhatabakhsh tadka ye sehar ki jalwa-saamaani
ufuq saara bana jaata hai daaman-e-chaman jaise
chhalkati raushni tareekiyo pe chhaai jaati hai
udaaye naaziyat ki laash par koi kafan jaise
ubalti surkhiyon ki zad pe hain halke siyaahi ke
padi ho aag mein bikhri ghulaami ki rasan jaise
shafaq ki chadaren rangeen fazaa mein thartharati hain
udaaye laal jhanda ishtiraaki anjuman jaise
chali aati hai sharmaai lajaai hoor-e-bedaari
bhare ghar mein qadam tham tham ke rakhti hai dulhan jaise
fazaa goonji hui hai subh ke taaza taraanon se
surud-e-fath par hain surkh faujen naghma-zan jaise
hawa ki narm lahren gudgudaati hain umangon ko
jawaan jazbaat se karta ho chuhlen baankpan jaise
ye saada saada gardoon pe tabassum-aafarin suraj
pai-dar-pai kaamyaabi se ho stalin magan jaise
sehar ke aaine mein dekhta hoon husn-e-mustaqbil
utar aayi hai chashm-e-shauq mein kaafi kiran jaise
ये सेहहत-बख़्श तड़का ये सहर की जल्वा-सामानी
उफ़ुक़ सारा बना जाता है दामान-ए-चमन जैसे
छलकती रौशनी तारीकियों पे छाई जाती है
उड़ाए नाज़ियत की लाश पर कोई कफ़न जैसे
उबलती सुर्ख़ियों की ज़द पे हैं हल्क़े सियाही के
पड़ी हो आग में बिखरी ग़ुलामी की रसन जैसे
शफ़क़ की चादरें रंगीं फ़ज़ा में थरथराती हैं
उड़ाए लाल झंडा इश्तिराकी अंजुमन जैसे
चली आती है शर्माई लजाई हूर-ए-बेदारी
भरे घर में क़दम थम थम के रखती है दुल्हन जैसे
फ़ज़ा गूँजी हुई है सुब्ह के ताज़ा तरानों से
सुरूद-ए-फ़त्ह पर हैं सुर्ख़ फ़ौजें नग़्मा-ज़न जैसे
हवा की नर्म लहरें गुदगुदाती हैं उमंगों को
जवाँ जज़्बात से करता हो चुहलें बाँकपन जैसे
ये सादा सादा गर्दूं पे तबस्सुम-आफ़रीं सूरज
पै-दर-पै कामयाबी से हो स्तालिन मगन जैसे
सहर के आइने में देखता हूँ हुस्न-ए-मुस्तक़बिल
उतर आई है चश्म-ए-शौक़ में 'कैफ़ी' किरन जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Aag Shayari Shayari