zabaan ko tarjumaan-e-gham banaaun kis tarah kaafi
main burg-e-gul se angaare uthaaun kis tarah kaafi
samajh mein kis ki aaye raaz mere hichkichaane ka
andhere mein chala karta hai har naavak zamaane ka
nigah-e-mast ki allaah-re maasoom taakidein
mujhe hai hukm saaz-e-muflisi par gungunaane ka
main saaz-e-muflisi par gungunaun kis tarah kaafi
hasi bhi meri nauha hai mera naghma bhi maatam hai
junoon bhi mujh se barham hai khird bhi mujh se barham hai
sulagta shauq pighalte valvale jaltee tamannaayein
zameen meri jahannam hai falak mera jahannam hai
khayaali jannaton mein baith jaaun kis tarah kaafi
ye tauq-e-bandagi vo phool si gardan maaz-allah
vo shehd-aalood lab aur talkhi-e-shevan maaz-allah
kamaal-e-husn aur ye inkisaar-e-ishq are tauba
vo naazuk haath mera gosha-e-daaman maaz-allah
jhatak kar gosha-e-daaman chhudaauun kis tarah kaafi
naved-e-subh sunta hi nahin rangeen khwaab us ka
ghira jaata hai zulmat-rez kirnon mein shabaab us ka
mujhe furqat nahin rangeeniyon mein doob jaane ki
use deta ye dhoka e'tibaar-e-intikhaab us ka
haqeeqat mast aankhon ko dikhaaun kis tarah kaafi
fana mein huzn-deeda zindagi zam hoti jaati hai
thaki nabzon ki khasta zarb madhham hoti jaati hai
ye armaanon ka mausam ye meri girti hui sehhhat
andheri raat aur lau sham'a ki kam hoti jaati hai
shabistaan-e-wafa ko jagmagaaun kis tarah kaafi
niraali jast karna hai naye raaste pe chalna hai
naye sholon mein tapna hai naye saanche mein dhalna hai
yahi do chaar saansen jo abhi mujh ko sambhaale hain
inheen do chaar saanson mein zamaane ko badalna hai
inhen bhi sard geeton mein ganwaun kis tarah kaafi
pareshaan qafile ne ab nishaan manzil ka paaya hai
dhundlakon ke udhar ik surkh taara jhilmilaaya hai
chale hain haapte insaan nayi duniya basaane ko
bahut aise hain in mein jin ko khud main ne badhaaya hai
main khud hi raaste se laut aaun kis tarah kaafi
ज़बाँ को तर्जुमान-ए-ग़म बनाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
मैं बर्ग-ए-गुल से अंगारे उठाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
समझ में किस की आए राज़ मेरे हिचकिचाने का
अँधेरे में चला करता है हर नावक ज़माने का
निगाह-ए-मस्त की अल्लाह-रे मासूम ताकीदें
मुझे है हुक्म साज़-ए-मुफ़्लिसी पर गुनगुनाने का
मैं साज़-ए-मुफ़्लिसी पर गुनगुनाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
हँसी भी मेरी नौहा है मिरा नग़्मा भी मातम है
जुनूँ भी मुझ से बरहम है ख़िरद भी मुझ से बरहम है
सुलगता शौक़ पिघलते वलवले जलती तमन्नाएँ
ज़मीं मेरी जहन्नम है फ़लक मेरा जहन्नम है
ख़याली जन्नतों में बैठ जाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
ये तौक़-ए-बंदगी वो फूल सी गर्दन मआज़-अल्लाह
वो शहद-आलूद लब और तलख़ी-ए-शेवन मआज़-अल्लाह
कमाल-ए-हुस्न और ये इंकिसार-ए-इश्क़ अरे तौबा
वो नाज़ुक हाथ मेरा गोशा-ए-दामन मआज़-अल्लाह
झटक कर गोशा-ए-दामन छुड़ाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
नवेद-ए-सुब्ह सुनता ही नहीं रंगीन ख़्वाब उस का
घिरा जाता है ज़ुल्मत-रेज़ किरनों में शबाब उस का
मुझे फ़ुर्सत नहीं रंगीनियों में डूब जाने की
उसे देता ये धोका ए'तिबार-ए-इंतिख़ाब उस का
हक़ीक़त मस्त आँखों को दिखाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
फ़ना में हुज़्न-दीदा ज़िंदगी ज़म होती जाती है
थकी नब्ज़ों की ख़स्ता ज़र्ब मद्धम होती जाती है
ये अरमानों का मौसम ये मिरी गिरती हुई सेह्हत
अँधेरी रात और लौ शम्अ की कम होती जाती है
शबिस्तान-ए-वफ़ा को जगमगाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
निराली जस्त करना है नए रस्ते पे चलना है
नए शोलों में तपना है नए साँचे में ढलना है
यही दो चार साँसें जो अभी मुझ को सँभाले हैं
इन्हीं दो चार साँसों में ज़माने को बदलना है
इन्हें भी सर्द गीतों में गँवाऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
परेशाँ क़ाफ़िले ने अब निशाँ मंज़िल का पाया है
धुँदलकों के उधर इक सुर्ख़ तारा झिलमिलाया है
चले हैं हाँपते इंसाँ नई दुनिया बसाने को
बहुत ऐसे हैं इन में जिन को ख़ुद मैं ने बढ़ाया है
मैं ख़ुद ही रास्ते से लौट आऊँ किस तरह 'कैफ़ी'
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari