mera haal pooch ke hum-nasheen mere soz-e-dil ko hawa na de | मिरा हाल पूछ के हम-नशीं मिरे सोज़-ए-दिल को हवा न दे

  - Kaleem Aajiz

mera haal pooch ke hum-nasheen mere soz-e-dil ko hawa na de
bas yahi dua main karoon hoon ab ki ye gham kisi ko khuda na de

ye jo zakhm-e-dil ko pakaaye ham liye phir rahe hain chhupaaye ham
koi na-shanaas-e-mizaaj-e-gham kahi haath us ko laga na de

tu jahaan se aaj hai nuqta-cheen kabhi muddaton mein raha wahin
main gada-e-raahguzar nahin mujhe door hi se sada na de

tab-o-taab-e-ishq ka hai karam ki jamee hai mahfil-e-chashm-e-nam
zara dekhiyo ai havaa-e-gham ye charaagh koi bujha na de

vo jo shaay'ri ka sabab hua vo mo'amla bhi ajab hua
main ghazal sunaau hoon is liye ki zamaana us ko bhala na de

मिरा हाल पूछ के हम-नशीं मिरे सोज़-ए-दिल को हवा न दे
बस यही दुआ मैं करूँ हूँ अब कि ये ग़म किसी को ख़ुदा न दे

ये जो ज़ख़्म-ए-दिल को पकाए हम लिए फिर रहे हैं छुपाए हम
कोई ना-शनास-ए-मिज़ाज-ए-ग़म कहीं हाथ उस को लगा न दे

तू जहाँ से आज है नुक्ता-चीं कभी मुद्दतों में रहा वहीं
मैं गदा-ए-राहगुज़र नहीं मुझे दूर ही से सदा न दे

तब-ओ-ताब-ए-इश्क़ का है करम कि जमी है महफ़िल-ए-चश्म-ए-नम
ज़रा देखियो ऐ हवा-ए-ग़म ये चराग़ कोई बुझा न दे

वो जो शाइ'री का सबब हुआ वो मोआ'मला भी अजब हुआ
मैं ग़ज़ल सुनाऊँ हूँ इस लिए कि ज़माना उस को भला न दे

  - Kaleem Aajiz

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari