mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya | मुझे इस का कोई गिला नहीं कि बहार ने मुझे क्या दिया - Kaleem Aajiz

mujhe is ka koi gila nahin ki bahaar ne mujhe kya diya
tiri aarzoo to nikaal di tira hausla to badha diya

go sitam ne tere har ik tarah mujhe na-umeed bana diya
ye meri wafa ka kamaal hai ki nibaah kar ke dikha diya

koi bazm ho koi anjuman ye shi'aar apna qadeem hai
jahaan raushni ki kami mili wahin ik charaagh jala diya

tujhe ab bhi mere khuloos ka na yaqeen aaye to kya karoon
tire gesuon ko sanwaar kar tujhe aaina bhi dikha diya

meri shaay'ri mein tire siva koi maajra hai na muddaa
jo tiri nazar ka fasana tha vo meri ghazal ne suna diya

ye gareeb aziz'-e-be-watan ye ghubaar-e-khaatir-e-anjuman
ye kharab jis ke liye hua usi bewafa ne bhula diya

मुझे इस का कोई गिला नहीं कि बहार ने मुझे क्या दिया
तिरी आरज़ू तो निकाल दी तिरा हौसला तो बढ़ा दिया

गो सितम ने तेरे हर इक तरह मुझे ना-उमीद बना दिया
ये मिरी वफ़ा का कमाल है कि निबाह कर के दिखा दिया

कोई बज़्म हो कोई अंजुमन ये शिआ'र अपना क़दीम है
जहाँ रौशनी की कमी मिली वहीं इक चराग़ जला दिया

तुझे अब भी मेरे ख़ुलूस का न यक़ीन आए तो क्या करूँ
तिरे गेसुओं को सँवार कर तुझे आइना भी दिखा दिया

मेरी शाइ'री में तिरे सिवा कोई माजरा है न मुद्दआ'
जो तिरी नज़र का फ़साना था वो मिरी ग़ज़ल ने सुना दिया

ये ग़रीब 'आजिज़'-ए-बे-वतन ये ग़ुबार-ए-ख़ातिर-ए-अंजुमन
ये ख़राब जिस के लिए हुआ उसी बेवफ़ा ने भुला दिया

- Kaleem Aajiz
0 Likes

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari