munh faqeeron se na fera chahiye | मुँह फ़क़ीरों से न फेरा चाहिए - Kaleem Aajiz

munh faqeeron se na fera chahiye
ye to poocha chahiye kya chahiye

chaah ka meyaar ooncha chahiye
jo na chahein un ko chaaha chahiye

kaun chahe hai kisi ko be-gharz
chaahne waalon se bhaaga chahiye

ham to kuchh chahe hain tum chaaho ho kuchh
waqt kya chahe hai dekha chahiye

chahte hain tere hi daaman ki khair
ham hain deewane hamein kya chahiye

be-rukhi bhi naaz bhi andaaz bhi
chahiye lekin na itna chahiye

ham jo kehna chahte hain kya kahein
aap kah lijye jo kehna chahiye

baat chahe be-saleeqa ho kaleem
baat kehne ka saleeqa chahiye

मुँह फ़क़ीरों से न फेरा चाहिए
ये तो पूछा चाहिए क्या चाहिए

चाह का मेयार ऊँचा चाहिए
जो न चाहें उन को चाहा चाहिए

कौन चाहे है किसी को बे-ग़रज़
चाहने वालों से भागा चाहिए

हम तो कुछ चाहे हैं तुम चाहो हो कुछ
वक़्त क्या चाहे है देखा चाहिए

चाहते हैं तेरे ही दामन की ख़ैर
हम हैं दीवाने हमें क्या चाहिए

बे-रुख़ी भी नाज़ भी अंदाज़ भी
चाहिए लेकिन न इतना चाहिए

हम जो कहना चाहते हैं क्या कहें
आप कह लीजे जो कहना चाहिए

बात चाहे बे-सलीक़ा हो 'कलीम'
बात कहने का सलीक़ा चाहिए

- Kaleem Aajiz
1 Like

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Aajiz

As you were reading Shayari by Kaleem Aajiz

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Aajiz

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari