aawaargi ho gai hai khasta-jigar
maine kiya aaj hi tay ghar ka safar
ghar bhi kahe sun zara tu ai be-khabar
bin ham-nafs jazb saare hain be-basar
yaad aa gaya ghar tujhe jab bola kiwaar
ik kaifiyat jaag uthi mujhmein mukhtasar
dhundhli nazar khidkiyon kii mujh par padi
boli rahe kis nasheman mein raat bhar
ukta ke aangan mera mujhse ye kahe
bhatke disha ya hua ab ghar rah-guzar
pehle qadam par hi seedhi ne tanz mein
toka ke manzil nahin main teri bashar
aata mujhe dekh chhat par chaunki mundeer
kya baat hai arsh aaya hai farsh par
tum par hamaara nahin maahi ikhtiyaar
ab ham tumhein yaad aayein baad-e-safar
आवारगी हो गई है ख़स्ता-जिगर
मैंने किया आज ही तय घर का सफ़र
घर भी कहे सुन ज़रा तू ऐ बे-ख़बर
बिन हम-नफ़स जज़्ब सारे हैं बे-बसर
याद आ गया घर तुझे जब बोला किवाड़
इक कैफ़ियत जाग उठी मुझमें मुख़्तसर
धुँधली नज़र खिड़कियों की मुझ पर पड़ी
बोली रहे किस नशेमन में रात भर
उकता के आँगन मिरा मुझसे ये कहे
भटके दिशा या हुआ अब घर रह-गुज़र
पहले क़दम पर ही सीढ़ी ने तंज़ में
टोका के मंज़िल नहीं मैं तेरी बशर
आता मुझे देख छत पर चौंकी मुँडेर
क्या बात है 'अर्श आया है फ़र्श पर
तुम पर हमारा नहीं 'माही' इख़्तियार
अब हम तुम्हें याद आएँ बाद-ए-सफ़र
As you were reading Shayari by Karal 'Maahi'
our suggestion based on Karal 'Maahi'
As you were reading undefined Shayari