raqeeb bhi hai habeeb bhi hai | रक़ीब भी है हबीब भी है

  - Karal 'Maahi'

raqeeb bhi hai habeeb bhi hai
ye dil mera kuchh ajeeb hi hai

nayi sadi mein jiye puraani
khumaar-e-ghalib ghazal kahi hai

nahin kahin kuchh raha hai baqi
hunar mera ab naseeb bhi hai

gunaah hai ik adeeb hona
tabaahiyaan kyun najeeb sii hai

libaas maahi dhare faqeeri
mahal mein bhi jo ghareeb hi hai

रक़ीब भी है हबीब भी है
ये दिल मिरा कुछ अजीब ही है

नयी सदी में जिए पुरानी
ख़ुमार-ए-ग़ालिब ग़ज़ल कही है

नहीं कहीं कुछ रहा है बाक़ी
हुनर मिरा अब नसीब भी है

गुनाह है इक अदीब होना
तबाहियाँ क्यूँ नजीब सी है

लिबास 'माही' धरे फ़क़ीरी
महल में भी जो ग़रीब ही है

  - Karal 'Maahi'

More by Karal 'Maahi'

As you were reading Shayari by Karal 'Maahi'

Similar Writers

our suggestion based on Karal 'Maahi'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari