aarzoo thi ki kabhi uske barabar baithoon
aur itna hi nahin haath pakad kar baithoon
teri duniya mein pas-o-pesh bahut hain saaqi
is se behtar hai ki main sher kahoon ghar baithoon
tum to masroof bahut rahne lage ho khud mein
muntazir hoon main agar tum kaho baahar baithoon
आरज़ू थी कि कभी उसके बराबर बैठूँ
और इतना ही नहीं हाथ पकड़ कर बैठूँ
तेरी दुनिया में पस-ओ-पेश बहुत हैं साक़ी
इस से बेहतर है कि मैं शेर कहूँ घर बैठूँ
तुम तो मसरूफ़ बहुत रहने लगे हो ख़ुद में
मुंतज़िर हूँ मैं, अगर तुम कहो बाहर बैठूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Karan Sahar
our suggestion based on Karan Sahar
As you were reading Maikashi Shayari Shayari