bulbul to bahut hain gul-e-raana nahin koi | बुलबुल तो बहुत हैं गुल-ए-राना नहीं कोई - Lala Madhav Ram Jauhar

bulbul to bahut hain gul-e-raana nahin koi
beemaar hazaaron hain maseeha nahin koi

kaam aaye bure waqt mein aisa nahin koi
tum kya ho zamaane mein kisi ka nahin koi

hum ishq mein hain fard to tum husn mein yaktaa
hum sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi

tum kya karo qismat hi agar apni buri ho
taqdeer ke likkhe ko mitaata nahin koi

बुलबुल तो बहुत हैं गुल-ए-राना नहीं कोई
बीमार हज़ारों हैं मसीहा नहीं कोई

काम आए बुरे वक़्त में ऐसा नहीं कोई
तुम क्या हो ज़माने में किसी का नहीं कोई

हम इश्क़ में हैं फ़र्द तो तुम हुस्न में यकता
हम सा भी नहीं एक जो तुम सा नहीं कोई

तुम क्या करो क़िस्मत ही अगर अपनी बुरी हो
तक़दीर के लिक्खे को मिटाता नहीं कोई

- Lala Madhav Ram Jauhar
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari