mila kar khaak mein phir khaak ko barbaad karte hain
ghareebon par sitam kya kiya sitam-iijaad karte hain
hazaaron dil jala kar gair ka dil shaad karte hain
mita kar saikron shehar ek ghar aabaad karte hain
mo'azzin ko bhi vo sunte nahin naaqoos to kya hai
abas shaikh o brahman har taraf fariyaad karte hain
haseenon ki mohabbat ka na kar kuchh e'tibaar ai dil
ye zalim kis ke hote hain ye kis ko yaad karte hain
wahi shaagird phir ho jaate hain ustaad ai jauhar
jo apne jaan o dil se khidmat-e-ustaad karte hain
मिला कर ख़ाक में फिर ख़ाक को बर्बाद करते हैं
ग़रीबों पर सितम क्या किया सितम-ईजाद करते हैं
हज़ारों दिल जला कर ग़ैर का दिल शाद करते हैं
मिटा कर सैकड़ों शहर एक घर आबाद करते हैं
मोअज़्ज़िन को भी वो सुनते नहीं नाक़ूस तो क्या है
अबस शैख़ ओ बरहमन हर तरफ़ फ़रियाद करते हैं
हसीनों की मोहब्बत का न कर कुछ ए'तिबार ऐ दिल
ये ज़ालिम किस के होते हैं ये किस को याद करते हैं
वही शागिर्द फिर हो जाते हैं उस्ताद ऐ 'जौहर'
जो अपने जान ओ दिल से ख़िदमत-ए-उस्ताद करते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar
our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar
As you were reading Love Shayari Shayari